Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai.”
Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet (ﷺ) said, “A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he was actually looking at her.”
Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Hadees of the Day Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Umme Salma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:- "Jo Aurat Dunia se is haal me chali jaye ke uska Shohar us se raazi tha, tou wo Jannat me dakhil hogi." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1854
Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai? Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai Hadees: Sahaaba (R.A) ne arz kiya : Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! kya koi aadami apne maa baap ko bhi gaali deta hai? Aap (ﷺ) ne farmaaya : "Haan! aadmi kisi ke baap ko gaali deta hai to woh us ke baap ko gaali deta hai, aur kisi ki maa ko gaali deta hai to woh us ki maa ko gaali deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 1902
Khwab ki baate kisey bayan kar sakte hai? Khwab ki baate kisey bayan kar sakte hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “(Khwaab ko) Apne Kisi Muhabbat karne wale (Mukhlis) ya Sahib-e-ilm ke Alawa kisi se hargiz bayan na karo.” 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 5020 Hasan
Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Hadees: Uqba bin Aamir (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo Mehman nawazi nahi karta." 📕 Musnad Ahmed, Hadees 17419
Baaligh Aurat Ka Pura Badan Chhupana Zaroori hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Baaligh Aurat Ka Pura Badan Chhupana Zaroori Hai Hadees: Abu Dawood ne Ayesha (R.A) se riwayat ki ke, Asma (R.A) baarik kapde pehan kar RasoolAllah (ﷺ) ke samne aayi ;Tou Aap (ﷺ) ne mooh pher liya aur ye farmaya - "Aye Asma!! Jab Aurat baaligh ho jaye tou uske badan ka koi hissa dikhai na dena chahiye siway mooh aur hatheliyo ke." 📕 Sunan Abi Dawood, Hadees 40-41
Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Khade ho kar Namaz padha karo, Agar Uski bhi Taaqat na ho to Baith kar aur Agar uski bhi na ho to Pehlu ke Bal Let kar padh lo.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 1117
Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399
Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat Urdu Bayan https://www.youtube.com/watch?v=hSQyJ8Zrc0o Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat Urdu Bayan Namaz kya hai ?, Namaz ke Fayde kya hai ?, What is Namaz ?, how to perform Salah for beginners, learn namaz, how to pray in islam for beginners, what is salah, 5 prayers of islam in english, how to pray in islam step by step, importance of namaz in english, spiritual benefits of namaz, benefits of each namaz, benefits of 5 times prayer, benefits of salah hadith, benefits of namaz fajr,…
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Hadees: Muaz bin jabal (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Dunia mein jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou, Jannati hooron mein se uski Biwi kehti hai: "Allah tujhe barbaad kare! usey takleef na de. Ye tou tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh kar hamare paas pahunch jaye." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha, Hadees 2012📕 At-Tirmidhi; Book 1, Hadees 287
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Kisi ka Samaan Uthaane me Madad karna bhi Sadqa hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, “Kisi shakhs ka samaan uthaane mein madad kar dena bhi sadqa hai” – (Bukhari; 2989) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, “किसी का सामान उठाने में मदद कर देना भी सदका है” – (बुखारी; 2989) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Sachai ka Bayan (Complete Lecture) by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=D2RPTrQGVT4 Sach bolne ke fayde in urdu Sach bolne ki Ahmiyat, sach bolne ki fazeelat, sach bolne par hadees, sach ki ahmiyat in urdu, hadees about jhoot in urdu, islam me jhoot bolne ki saza, jhoot ke bare main hadees, jhoot bolna hadees, jhoot in islam in urdu
Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam ۞ HADEES ۞ Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam Abdullah bin umro (R.A) se riwayat hai ke Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Ta'ala us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr-guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha 2018