Allah ke Khaas Bando ki pehchaan ye hai ke wo Zameen par Aahistagi se chalte hai

Allah Rabbul Izzat Quraan-e-Kareem me Apne Khaas bando ki pehchaan ke bare me farmata hai

!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!

Aur Allah ke khaas bandey tou woh hai jo Zameen par Aahistagi se chalte hai aur Jab Jahil unsey (Jahalat) ki baat kare tou kahte hai ke Salaam (tum salamat raho), (63)

Aur woh log jo Apne Parwardigar ke wastey Sajde aur Qayam me raat kaat dete hai, (64)

Aur woh log jo Dua karte hai ki Parwardigara humse Jahhanum ke Azaab fere rehna kyunki uska Azaab bohot (Sakht aur Payedar hoga), (65)

Beshaq woh (Jahhannum) bohot bura thikana hai, (66)

Aur woh log ki jab kharch karte hai tou na fizul kharchi karte hai aur na tangi karte hai aur unka kharch uske darmiyan ausat darje ka rehta hai, (67)

Aur woh log Jo Allah ke sath dusre maboodo ki parashtish nahi karte aur jis ke maarne ko Allah ne haraam kar diya usey naahaq Qatl nahi karte aur naa Zinaa karte hai. (68)

5/5 - (1 vote)

Leave a Comment