♥ Mafhoom-e-Hadees:: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya ,
“Jab Tum Dekho Ke Bukhl-O-Lalach Ki Hukmarani Hai, Aur Khwaish-e-Nafs Ki Pairvi Ki Jaati Hai Aur Har Sahib-e-Raye Apni Raye Par Itrata Hai Tou Uss Waqt Apni Fikr Karna ,..”
– (Jamia Tirmizi.Quwwat-Ul-Quloob Pg-385)
# Sabaq: Allahu Alam ! Is AaHadeese Mubarak Ki Hidayat ko Hum 2 tarha Le Sakte Hai,.
– Pahla Yeh Ke: Jab Mu’ashara Mukammil taur Se Allah Ki Nafarmani me Mubtela ho jaye tou Uss Waqt Ahle Imaan Ko Gouro Fikr Karna Chahiye Ke Kahi Ye Azabe Ilahi Ki Taraf Nishandehi tou nahi, aur wo Khub apne rab se Taubah wa Astaghfar Kar Apne Rab Ki panah Talab Karte Rahe ,..
– Aur Dusra yah Ke: Jab Logon ki hathdharmi inteha ko pohoch jaye tab Ahle-Iman ko Chahiye ke wo Apne Iman Par Pukhta rahe aur dusro ko bhi iski talkin karte rahe Ta’aki yah unke akhirat ki kamiyabi ka bayis ban jaye ,. – @[156344474474186:]
– Beharhaal dono hi Baate apni Jagah Durust ho sakti hai,..
*Lihaja Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke:
*Allah Her Kism Ke Fitno Se Humare Iman Ki Salamti Ata Farmaye ,..
*Hume Kitabo Sunnat Ka Muttabey Banaye ,..
*Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
*Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!