Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye Allah ke Zikr ke
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)”
Afzal Zikr 'La ilaha illAllah' aur Afzal Dua 'Alhamdulillah' ✦ Hadith: Afzal Zikr aur Afzal Dua ✦ 📖 Hadith Roman Urdu Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Afzal Zikr La ilaha illAllah hai aur afzal Dua Alhamdulillah hai.”(Sunan Ibn Majah, Jild 1, 681 – Hasan) 📖 हदीस हिंदी जाबिर बिन अब्दुल्लाह (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “अफ़ज़ल ज़िक्र ‘ला इलाहा इल्लल्लाह’ है और अफ़ज़ल दुआ ‘अल्हम्दुलिल्लाह’ है।”(सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, 681 – हसन) 📖 Hadith English Jabir bin…
Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai Jhuth bolna Kaisa hai? Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai. Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge. ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Jhootho par Allah ki Lanat "Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai." "बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|" 📕 Surah Aal-e-Imran 3:61 Jhuth Gunah ki taraf le jata hai…
Zikr Azkar ki Fazilat Zikr ki Fazilat Quran me Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: Isliye tum mera zikr karo main bhi tumhe yaad karunga, meri Shukr Guzari karo aur Nashukri se bacho.❞ [Al-Baqra:2:152] Aye emaan waalo! Allah Ta'ala ka bahut ziyada zikr karo. [Al-Ahzaab: 22:41] Aur Allah Ta'ala ko ziyada yaad karne wale mard aur bahut ziyada yaad karne wali aurtain, Allah Ta'ala ne un ke liye maghfirat aur ajr-e-azeem tayyaar kar rakkha hai. [Al-Ahzaab 22:35] Aye insaan! Apne Rab ko apne dil…
Ya Allah! meri Madad kar tera Zikr aur Shukr karney… Acchi ibadat ki dua "Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika" (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) – Sunan Abu Dawood 1509-Sahih ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai: "Aur jo meri yaad se ghafil ho jata hai tou hum uss par ek shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai." – Surah Az-Zukhruf 43:36
Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak… Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Meri Ummat ko Bure Khayalaat ki Had tak Muaf kiya hai jab tak Us par Amal na kare ya Usey Zubaan se ada na kare." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 5269
Goongi ho Gai aaj kuch Zubaan kehte kehte: Dr. Allama Iqbal Goongi ho gai aaj kuch Zuban kehte kehte, Hichkicha gaya me khud ko Musalman kehte kehte. Ye baat nahi ke Mujhko Rab par yaqeen nahi, Bas darr gaya khud ko Sahib-e-Emaan kehte kehte. Tofeeq na hui mujhe ek waqt ki Namaz ki, Aur chup ho gaya Moazzin Azan kehte kehte, Kisi kafir ne jo poocha ke ye kya hai maheena, Sharm se paani hath se gir gaya Ramzan kehte kehte, Meri Almari me gard se aati Kitab ka jo poochha, Mai gaddh gaya Zameen me Quraan kehte kehte, Ye sun ke chuppi…
Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish ke Milti tou ۞ QAUL-E-MUBARAK ۞ Umar Bin Abdul Aziz (R.A.) farmate hai, "Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish aur Takleef Ke Hoti tou Duniya hi Jannat hoti." 📕 Bujurgo ke Aqwal
Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi… Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi kiya to Main Zameen bhar Magfirat lekar tumse miluga' ۞ Hadees-e-Qudsi: Abu Dhar (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: 'Allah Subhanahu farmata hai - "Neki (ka ajar) 10 guna hai ya main ziyada bhi kar sakta hu, aur Gunah ek hi hai ya mein usko bhi bakhash dun, agar tum Zameen bhar ke Gunah lekar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho tou…
Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho Tou .... ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Abdul Rahman (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ki fikr sirf duniya ho, Allah Ta’ala uske kaam me pareshani daal deta hai. Uski muflisi (ghurbat) dono aankhon ke darmiyan kar deta hai. Aur duniya usko sirf utni hi milti hai jitni uski taqdeer me likhi hoti hai. Lekin jiski niyat aakhirat ki taraf ho, Allah Ta’ala uske sab kaam durust kar deta hai. Uske dil me be-parwahi daal deta hai.…
Dua Zikr-Azkar ۞ Dua list ۞ Zikr ki fazeelatNeend se bedaar hote waqt ke AzkaarBaitul khala mein daakhil hone ki duaBaitul khala se nikalne ki duaSubah aur Sham ke AzkaarIstaghfaar aur taubah ka bayaanBechaini ki dua Wazu se pahle aur baad ke azkaar Wazu ki fazeelatWazu shuru karte waqt ki duaWazu ke baad yeh dua padhein Namaz ki Duaien Dua-e-lstaftaahQunoot-e-witr ki duayeinNamaaz-e-witr se salaam pherne ke baad azkaarQunoot-e-NaazilahSuratul FaatihaRuku1 ki duayeinRuku1 se uthhne ki duaRuku1 ke baad qiyaam ke azkaarSajdah ki FazeelatSajde…
Zikr-e-Illahi ke siwaye Kasrat-e-Kalam Dil ko Sakht… ✦ RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Zikr-e-Illahi ke siwaye Kalam ki Kasrat (bahut zyada baat Karne ) se bacho! kyunke Zikr-e-Illahi ke siwaye Kasrat-e-Kalam Dil ko Sakht Bana deta hai aur logo mein Allah Subhanahu se Sabse zyada door Sakht Dil wala hoga." - (Jamia Tirmaizi Jild 2, 2411-hasan) ✦ रसूलअल्लाह (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "ज़िक्रे इलाही के सिवाए कलाम की कसरत (बहुत ज्यादा बात करने ) से बचो! क्यूंकि ज़िक्र इलाही के सिवाए कसरते कलाम दिल को सख्त बना देता है और लोगो में…
Duniya se Mohabbat ke Nuqsaanat by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=w2W4FIIh4d8 Duniya se Mohabbat ke Nuqsaanat Dunia ki mohabbat aaj insan ke har kism ke Gunaah ka bayeens hai, jabki ye akahirat ke aitbar se bohot khassara uthane wali cheez hai ,.. iske talluk se tafseeli jankari ke liye aayiye is bayan ka muta'ala karte hai. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. - JazakAllahu khairan kaseera !
Allah ki Neymato ka Izhar kiya karo: Hadees Hadees: Amr-bin-Shu'aib (R.A) Aapne Walid se aur Wo Unke Dada se riwayat karte hain ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu Ta'ala apne Bande par apni Neymat ka Izhar pasand karta hai." 📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, Hadees 723-Sahih # Sabaq: Yani Allah Subhanahu Ta'ala ki taraf se koi Ne'mat ata ki Gayee ho toh usko Chhupana nahi Chahiye, aur dikhawa bhi is qadr na ho Ke riyakari ke aadi ho jaye. - Lihaja Jab bhi Kisi neymat Ka Tazkira ho…
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…
Ramadan Day 25 | Shabe Qadr me Quran ka Nuzool hua Ramadan Hadees: Day 25 Shabe Qadr me Quran ka Nuzool hua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Subhanahu wa Taala Quran me farmata hai: "Humne is Quran ko Mubaraq Raat (Shabe Qadr) me nazil kiya." 📕 Surah Ad-Dukhan 44:3