Jhoota Khwab Sunane Par Qayamat Ka Azaab | Sahih Hadees

Jhoota Khwab Sunana Bura Gunah Hai

Ek Sahih Hadees jaaneye: Jhoota khwab sunana, logon ki baatein chupke sunna aur tasveer banana in a’mal ka Qayamat ke din kya sakht azaab hai?

Nabi Kareem ﷺ ka Farman hai:

“Jis ne aisa khwab sunaaya jo us ne nahi dekha, to use Qayamat ke din do jau ke daanon ke beech gaanth lagane ka hukam diya jaayega, halanke woh aisa nahi kar payega.

Aur jo shakhs logon ki baatein sunne ke liye kaan lagata hai (halanke log use pasand nahi karte aur us se door bhaagte hain), to Qayamat ke din aise shakhs ke kaano mein pighla hua sheesha daala jaayega.

Aur jo tasveer banata hai, use azaab diya jaayega aur us se kaha jaayega ke is tasveer mein jaan daalo, halanke woh aisa nahi kar payega.”

(Sahih Al-Bukhari, Hadith No. 7042)


📌 Hidayat aur Naseehat:

  • Khwab sirf wahi bayan karein jo sach mein dekha ho
  • Doosron ki private baatein sunne se parhez karein
  • Tasveer ya statue banana se bachein

🤲 Dua:
Aay Allah! Humein in gunahon se bachne ki taufeeq ata farma aur humein sach bolne wala bana. Aameen.

WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply