Ek Aurat Hamesha Jab Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti, Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar Le Jayega Aur Dua Dega.
Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata Aur Uss Roti Ko Utha Kar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki “Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega”.
Din Guzarte Gaye Aur Ye Silsila Chalta Raha, Woh Faqir Roti Le Kar Jata Aur Yehi Baat Bad-badata.
Jab Uss Aurat Ko Iss Faqir Ki Harkat Se Taklif Hone Lagi, Aur Aurat Khyayal Karti Ki Kaisa Faqir Hai Jo Shukriya Ke Lafz Nahi Bolta aur Naa Hi Dua Deta Aur Kuch Ulta Sidha Hee Bad-badata Chal Deta Hai!!! Iska Kiya Matlab Hoga!!
*Ek Din Uss Aurat Ke Gusse Ka Koi Thikana Na Raha Aur Usne Mann Hee Mann Soch Liya Ki Iss Faqir Se Nijat Paani Hai. Aur Iss Iraade Se Usne Faqir Waali Roti Me Zaher Mila Diya.
Par Jab Woh Khidki Par Woh Roti Rakhne Gai Ki Uska Zameer Jaag Utha Aur Bolne Lagi Ki Yeh Woh Kaisi Harkat Karne Ja Rahi Hai!! Kisi Garib Ki Jaan Lena Chahti Hai!! Bas Yeh Soch Kar Usne Zaher Waali Roti Jaala Di Aur Phir Se Achchi
Roti Banaa Kar Khidki Par Rakh Di. Aur Woh Faqir Aaya Aur Roti Utha Kar Wahi Baat Bad-badate Jane Laga Ke, “Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Achcha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega”
*Har Roz Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Woh Apne Ek Khoye Huwe Bete Ki Salamati Ki Dua Karti, Isi Ummid Se Woh Roti Rakhti Ki Jo Barso Pehle Uska Beta Kho Gaya Tha Woh Wapas Ghar Par Aajaye. Aur Arso Se Ab Tak Koi Uski Khabar Nahi Thi.
Ussi Roz Shaam Ko Kisi Ne Darwaze Par Dastak Di, Jab Uss Aurat Ne Darwaza Khola Tou Usne Apne Bete Ko Paya. Magar Beta Bahot Kamzor Aur Chalne Ke Laaik Na Tha. Behad Hee Dubla-Patla Aur Taqat Se Khali Tha, Bhuk Se Uski Haalat Kharab Hoti Ja Rahi Thi.
Jaise Hee Usne Apni Maa Ko Dekha Tou Bola Ki Maa Ye Ek Karaamat Hee Hai Ki Me Aaj Zinda Hu. Kuch Meel Door Meri Haalat Bhuk Se Itni Khasta Thi Ki Mai Ek Kadam Bhi Chal Nahi Paa Raha Tha. Naa Waha Koi Insaani Aabadi Thi Naa Kuch Khane Pine Ko. Agar Aise Hee Chalta Tou Wahi Par Marr Jaata.
*Par Waha Se Ek Faqir Ka Guzar Huwa, Jisne Meri Haalat Par Taras Khai Aur Usne Apne Thele Se Ek Roti Nikaal Kar Mujhe Khilai Aur Bola Ki Roz Tou Ye Roti Mai Hee Khata Hu, Par Aaj Iski Zaroorat Mujse Ziyada Tujhe Hai, Ise Kha Le. Bas Wahi Roti Kha Kar Mujhe Apne Ghar Tak Pahuchne Ki Taqat Mili Aur Yaha Tak Pahuch Saka.
Jaise Hi Maa Ne Iss Baat Ko Suna Ki Uska Chehra Pila Pad Gaya Aur Apne Aap Ko Sahara Dene Darwaze Par Haath Rakh Diya Aur Sochne Laagi Ki Mere Bete Ko Jisne Roti Di Woh Faqir Agar Wahi Tha Jo Meri Khidki Se Roti Le Jaata Aur Kehta Ki “Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega”. Agar Wahi Faqir Tha Tou Aaj Mai Kiya Karne Ja Rahi Thi!!!
Aaj Tou Maine Uss Faqir Ke Liye Zaher Waali Roti Rakh Di Thi, Agar Woh Roti Me Wapas Nahi Leti Tou Wahi Roti Woh Faqir Anjane Mei Mere Hi Bete Ko De Deta Aur Mera Beta Wahi Par Marr Jata!! Yeh Soch Woh Khub Roi Aur Sharminda Huwi.
Aur Usse Faqir Ke Lafzo Se Taklif Hoti Thi Woh Bhi Samaj Me Aagaya Ki Beshaq “Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega”.
» Sabaq: Azeez Dosto Shayad Yeh Wakiya Ek Khayali Baat Hee Ho, Lekin Yeh Intehayi Haqiqat Hai Ke, Hamare Burey Amaal Hamare Sath Hee Rahenge Aur Hamare Acche Amaal Hum Tak Jarur Lout Aayenge.
Lihaza Hamesha Accha Karo, Aur Accha Karne Se Apne Aap Ko Naa Roko, Phir Chahe Bhale Uss Waqt Na Koi Taarif Karne Waala Ho Naa Koi Dekhne Waala.
Allah Taala Hume Amal Ki Toufiq De ….
Related Posts: