Haa! Allah ki Madad Kareeb hi hai !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Aaj Hum Choti Choti Musibato par Allah se mayus ho jatey hai, Allah ki rehmat se Na'ummid ho jatey hai jabki ye Imanwalo ko Zeba nahi deta,.. - kyunki humse pahle Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam), Aapke Sahaba, aur Jo Nek aur Saleh log they unpar Is se Jyada Mushkile aur pareshani Aayi,. lekin iske bawajud wo log Haq par Majbuti ke sath jamey rahe aur Allah ki rehmat se mayus aur Na'ummid na hue ,. Aur Allah…
Banda Apne Rab ke Qareeb Sajdey ki haalat me hota hai Banda Apne Rab ke Qareeb Sajdey ki haalat me hota hai Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Banda Apne RAB se Sabse Ziyada Qareeb Sajdey ki Haalat me hota hai,Lihaza (Sajdey me) Tum log Zyada e Zyada Dua kiya karo." 📕 Sunan Nisai 1137
Momin Apne Bhai Ka Aa’ina Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya : "Momin Apne Bhai Ka Aa’ina Hai, Jab Woh Uss Me Koi Burayi Dekhta Hai Tou Uss Buraayi Ki Islah Kar Leta Hai.” - [Bukhari As-Sahih, 01/93, Raqam-238] [Ibn Mubarak Az-Zuhad, 01/485, Raqam-1378] [Asqalani Tahdhib-ut-Tahdhib, 05/181, Raqam-357] [Mizzi Tahdhib-ul-Kamal, 11/428, Raqam-2515, 3256] [Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-105, Raqam-21] ♥ In sha Allah-Ul-Azeez !!! Allah Ta'ala Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ,..
Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak… Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Meri Ummat ko Bure Khayalaat ki Had tak Muaf kiya hai jab tak Us par Amal na kare ya Usey Zubaan se ada na kare." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 5269
Apne Bhai ko Fayda Pahunchao Apne Bhai ko Fayda Pahunchao RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Tum me se Jo Shakhs Apne Bhai ko Fayda Pahunchane ki Taaqat rakhta ho tou Usey Chahiye ki Woh Apne Bhai ko Fayda Pahunchaye.” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2199
Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala Apne Raham Dil Bandon par hi Raham farmata hai” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 1284, 5655
Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna: Hadees Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Apne Maa-Baap ki Kabhi Nafarmani Na Karna, Chahe Woh Tumko Ghar aur Maal Wa Jaydaad Chhodne ka Huqm Dein." 📕 Musnad-e-Ahmad: Hadees 21570 • Note: Bashartey Baat Khilaf-e-Shariyat Na ho
Sab se Behtar Banda koun? Dil mein Bughz rakhna kaisa hai Hadees Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah bin ‘Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya; "Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho." 📕 Ibne Majah, Hadees 4216
Allah se Madad ki Dua - Aye Allah ! tera Inkar… Allah se Madad ki Dua - Quran e Kareem me Allah Taala ne jo hume Madad Mangne ki Dua sikhayi - Aye Allah ! tera Inkar karnewalo ke Muqable me humari madad farma ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah se Madad ki Dua in Arabic ربَّنَا اغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسْرَافَنَا فِي أَمْرِنَا وَثَبِّتْ أَقْدَامَنَا وانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَِ Allah se Madad ki Dua in Roman English "Rabbana-ghfir lana dhunuubana wa israfana fi amrina wa thabbit aqdamana wansurna 'alal qawmil kafireen" Allah se…
Khayanat ka anjam : Khayanat karne walo se Allah Ki… Khayanat ka anjam Hadith-e-Qudsi: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai ke, Allah Ta'ala farmaata hai: "Main 2 saath mil kar kaam karne walon ke saath hota hoon jab tak ke koi sathi khayanat na kare, jab koi ek bhi khayanat karta hai to meri madad uthh jati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 3383
Apne Musalman Bhai se 3 Din se Zyada Naraz naa rahey 3 din se Zyada Narazgi Hadees in Roman Urdu | Hadees: "Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada Narazgi ki Wazah se Baat Chit Karna Chhor de." [Sunan Abu Dawood, Hadith 1483]
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Aadmi apne Dost ke deen pe chalta hai Hadees: Aadmi apne Dost ke deen pe chalta hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aadmi apne Dost ke deen par hota hai. Lihaja tum me se har shakhs ko ye dekhna chahiye ke wo kis se dosti kar raha hai." 📕 Abu Dawood; Hadees: 4833-Hasan
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Allah Ta'ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai Allah Ta'ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai ✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta'ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki: { وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ } "Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai,…