Muharram bayan Mp3 Free Download by Ahle Sunnat Ulema Muharram ka bayan Audio by Ahle Sunnat Ulema ♫ Karbala ka Zimmehdaar kaun ♫ Ashura Ka Paighaam ~ Hafiz Javeed Usman Rabbani Related audio: Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein Muharram / Ashure Ka Roza aur Uski Fazilat Karbala ka Waqia: Sunni Ulemao ki Roshni me (Battle of Karbala) Muharram Ki Haqeeqat by Adv. Faiz Syed ताजियों का इस्लाम से नहीं कोई रिश्ता People also serch as: Tariq Masood bayan mp3 download, Mp3 bayan download, Maulana tariq jameel bayan…
Banda Apne Rab ke Qareeb Sajdey ki haalat me hota hai Banda Apne Rab ke Qareeb Sajdey ki haalat me hota hai Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Banda Apne RAB se Sabse Ziyada Qareeb Sajdey ki Haalat me hota hai,Lihaza (Sajdey me) Tum log Zyada e Zyada Dua kiya karo." 📕 Sunan Nisai 1137
Musibat Pareshani se bachne ka Wajifa: Musibat,… https://www.youtube.com/watch?v=MGffdrQG74E Musibat Pareshani se bachne ka Wajifa Pareshani se Nijat ki Dua in Hindi, Sakht Pareshani Ka Wazifa, Mushkil Door karne ki Dua, Pareshani Door hone ki Dua, Pareshani Dur Karne ki Dua, Pareshani ki Dua, Pareshani Door Karne ka Tareeka, Musibat Mushkil Pareshani Aane Se Pehle Usse Bachne Ke liye Kya Kare By Adv. Faiz Syed
Ramadan Day 28 | Namaz-e-Eid se pehle diya hua… Ramadan Hadees: Day 28 Namaz-e-Eid se pehle diya hua Sadqa-e-Fitr Qabool hua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jisne Namaz-e-Eid se pehle Sadqa-e-Fitr ada kiya uskaSadqa maqbool hua, aur jo namaz ke baad ada kare touaam Sadqe mein se ek Sadqa hai." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan
Namaz me banda Rab se Baate karta hai Namaz me banda Rab se Baate karta hai Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai, tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai. Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur Qibley ke darmiyan hota hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 405
Khwab ki baate kisey bayan kar sakte hai? Khwab ki baate kisey bayan kar sakte hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “(Khwaab ko) Apne Kisi Muhabbat karne wale (Mukhlis) ya Sahib-e-ilm ke Alawa kisi se hargiz bayan na karo.” 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 5020 Hasan
Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Hadees: Abd al-Rahman bin Abi Bakrah (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare." 📕 Abu Dawood, Hadees 3589
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Ramadan Day 27 | Sadaqa-e-Fitr, Eid ke 1 ya 2 din… Ramadan Hadees: Day 27 Sadaqa-e-Fitr, Eid ke 1 ya 2 din pehle dey ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrate Nafi (R.A.) ne bayan kiya ke: "Log Sadaqat-ul-Fitr, (Eid ke) Ek yaDo din pehle bhi de diya karte they" 📕 Sahih al-Bukhari 1511
ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo Hadees: Abu Umamah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: ❝Logo! Ilm ke wapas liye jaane aur utha liye jane se pehle ilm hasil kar lo.❞ 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 228
Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Hadees: Uqba bin Aamir (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo Mehman nawazi nahi karta." 📕 Musnad Ahmed, Hadees 17419
Aye Hamare Rab! Humse Woh Bojh Na Uthwa Jiski Humein… Qurani Dua for Strength and Mercy in Hard Times🌙 Surah Baqarah 2:286 – A powerful reminder of Allah’s mercy ✨ Qurani Dua (Arabic with Roman Urdu Translation) Arabic: رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِ ۖ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ۚ أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ Transliteration: "Rabbana wala tuhammilna ma la taqata lana bihi wa'fu anna waghfir lana wairhamna anta mawlana fansurna 'alal-qawmil kafireen" (Surah Baqarah 2:286) 🕌 Roman Urdu Tarjuma (Translation) "Aye Hamare Rab! Humse…
Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat…
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…