
Jab Jannati Bandey Allah ka Deedar Karenge: Allah ka Deedar Hadees
Hadees: Suhaib (R.A) se Riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya:
“Jab Jannati Jannat me paunch jayenge, To Allah Ta’ala Unse Irshad farmayenge: “Kya Tum Chahte ho ki Mai Tumko Mazeed Ek Cheez Ata karun Yaani Tumko jo kuch ab tak Ata hua hai us par Mazeed Ek khaas Cheez Inayat karun ?”
Wo Kahenge: “Kya Aap ne Humare Chehre Roshan nahi kar diye aur kya Aapne Hume Dozakh se Bacha kar Jannat me Dakhil nahi kar diya ? (Ab Iske Alawa aur kya Cheez ho sakti hai jiski Hum Khawaish Karein! Bandon ke Iss Jawab ke Baad) Phir Allah Ta’ala parda hata dega (Jiske baad Wo Allah Ta’ala ka Deedar karenge)
Ab Unka ye Haal hoga ki jo kuch ab tak Inhe mila tha, Un Sabse Zyadah Mehboob Unke liye Apne Rab ke Deedar ki Ne’mat hogi.”
📕 Saheeh Muslim, Hadees 449
SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hum Sabko Apne Muqarrib bando me Shumar farmaye, hume Apna Deedar Naseeb faramaye. Ameen Summa Ameen !!!
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.