Islamic Quiz 234
Qurbani Ka Waqt Kab se shuru hota hai?
Options Are 👇
A. Fazr se pehle
B. Eid ki Namaz se pehle
C. Eid ki Namaz ke baad
D. Sahih Jawab Ka Intezar
Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Eid ki Namaz ke baad
Qurbani ka waqt Eid ki namaz ke fauran baad shuru ho jaata hai, khutba khatm hona zaroori nahi aur yeh bhi zaroori nahi ke pehle Imam saheb hi Qurbani den.
Daleel :
Bara bin Aazib (R.A) ne bayan kiya ke Nabi Kareem ﷺ ne Eid-ul-Azha ki Namaz ke baad khutbah dete huwe farmaaya:
“Jis shakhs ne humaari Namaz ki tarah Namaz padhi aur humaari Qurbani ki tarah Qurbani ki us ki Qurbani sahih hue lekin jo shakhs Namaz se pehle Qurbani kare woh Namaz se pehle hi gosht khaata hai magar woh Qurbani nahi.”
Yeh Hadees batlaati hai ke Eid ki Namaz se pehle Qurbani sahih nahi hai aur Eid ki namaz ke baad Qurbani karna sahih hai.
Eid ki namaz ke baad se Qurbani ka waqt shuru ho kar 13 Zul-Hijjah ke Maghrib ka sooraj doobne par khatm ho jaata hai. Yaani Qurbani ke chaar din Kitaabullah aur Sunnat e Rasool ﷺ se saabit hain.
Read More:
- Zil Hijjah ke Shuru ke 10 Dino ki fazilat
- Qurbani Ke Ahkaam O Masaail
- अशरा ज़ुल हज की फ़ज़ीलत क़ुरानो सुन्नत की रौशनी में
- Ashra Zul-hijjah Mein Kasrath Se Karne Waale Amaal
- Dhul Hijjah Ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ko Pasand
- ♫ Qurbani Ke Kuch Aham Ahqam Aur Masail
- Qurbani – Ek Baap aur Betey Ki (Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam)
- Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe ?