♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Kahte Hain Ki,
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Jab Se Allah Ta’ala Ne Insan Ko Paida Kiya Tab Se Uss Par Mout Se Zyada Sakht Koi Waqt Nahi Aaya
*Aur Phir Mout Ke Baad Ke Marhale Mout Se Bhi Zyada Sakht Hain,
*Beshaq Log Hashr Ke Din Ki Sakhti Se Do-Chaar Hone Wale Hain
*Jisse Paseene(Sweat) Ki Lagaam Aayi Hogi(Paseena Itna Bah Raha Hoga Ki)
Agar Uss Paseene Me Kashtiyan Chalaayi Jaaye Tou We Chalne Lagey”.
– (Tabrani Attargheeb, Juz Rabe-5258)
♥ in’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Raabul Izzat Roze Mehshare Me Hume Apne Rehmo-Karam Ka Saya Nasib Farmaye !!! Ameen ,..