Contents
۞ Hasad ka Taruf | Hasad kise Kehte hai ?
“Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta dekh kar Dil me Jalna aur Uski Neymato ke Zawaal (Khatam Hone) ki Tamanna Karna iss Kharab Aadat ka naam Hasad hai.“
✦ Hasad Bahut hi kharab aadat aur Nihaayat hi buri bala hai, Gunaah-e-Azeem hai. Hasad karne waale Ki saari zindagi Jalan aur Ghutan ki Aag me jalti rehti hai aur Ussey Chain wa Sukoon kabhi Naseeb nahi hota.
📕 Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187
✦ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Kisi Insan ke Dil me Emaan aur Hasad ikhatte nahi reh sakte.“
📕 Sahih Bukhari Sharif
Yaani ke Imanwala Hasad nahi kar sakta. Ya fir jo Hasad karey wo Emaanwala nahi.
✦ Ek Riwayat me Aap (ﷺ) farmatey hai:
“Apne Aapko Hasad (Jalan) se Bachao! Beshaq Hasad Nekiyon ko iss tarah kha jata hai, Jaise Aag Sookhi Lakdi ko kha jaati hai.“
📕 Abu Dawood
Hasad Aisi Buri Cheez hai jo Emaan ko Khokla aur Allah ki Rehmat se Mehroom kar deti hai.
📕 Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A)
۞ Hasad Kaha Jayaz Hai ?
✦ Hadees: Abdullah bin Mas’ud (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya: “Hasad Sirf 2 Baato me jayaz hai! (Ek) tou uss Shakhs ke baare me jisey Allah Ta’ala ne doulat di ho aur wo uss doulat ko Raah-e-Haq me kharch kare aur (Dusra) uss Shakhs ke baare me jise Allah Ta’ala ne Hiqmat di ho aur wo Uskey Jariye faisley karta ho aur logo ko uski taalim deta ho.” [Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73]
۞ Hasido ke Hasad se Panah ke liye Dua:
Jis Tarha se Hume Hasad Karne se Bachne ka Hukm diya gaya hai, Ussi Tarha se Haasid ke Sharr se Panaah maangne ki Dua ke liye bhi kaha gaya hai. Quraan-e-Majid me iss tarha se Dua karne ko kaha gaya hai:
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
❝Allah Ki Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare.❞ (Ameen)
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.