Har Shakhs Khataa karne wala hai, Lekin Behtar… Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Har Shakhs Khataa karne wala hai aur Behtar Khata karne wala woh hai Jo Taubah kar le." 📕 Tirmidhi, Hadees 389 Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Uss Shakhs ke liye Khushkhabri hai Jo Apne Naam-e-Amaal me bohot Ziyada Astaghfar paaye." 📕 Ibn-e-Majah, Hadees 3818
Waqt par Namaz Padhna Waqt par Namaz Padhna Hadees: Ubadah Ibn As-Samit (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Mere baad tum par aisey log hukmaran hongey jinki mashguliyat unko waqt par namaz ki adayeegi se rok degi, yahan tak ki waqt nikal jayega, isliye tum apney waqt par namaz parhna." Ek shakhs ne pucha Ki: "ya Rasool'Allah (ﷺ)! kya main unkey (Jamaat me sharik ho kar dobara) namaz parh lu ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "haan agar tu chahey." 📕…
Ramadan Day 12 | Iftar ke Waqt Jahannum se Aazadi Ramadan Quotes: 12th Ramzan ✦ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:Allah Taala har Iftar ke Waqt Jahannum se kuch logon ko Azad ...
Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Allah ke Rasool (ﷺ) farmatey hai :“Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga? Jab Tumhare Naujawan Badkaar (Characterless) ho Jayenge aur Tumhari Ladkiyan aur Aurtein Tamaam Hadood Phallaang (Limit Cross) kar jayeingey. Sahaba Karaam ne Arz Kiya:"Ya Rasool’Allah (ﷺ)! Kya Aesa bhi Hoga?" Aap (ﷺ) ne farmaya:"Haan! Aur Uss se Badh kar, Uss Waqt Tumhara kya Haal hoga,Jab Na tum Bhalayi ka Hukm Karoge, Na Burayi par Aitraaz karoge!" Sahaba ne arz…
Ramadan Day 18 | Allah ki raah me Ek Din bhi Roza… Ramadan Quotes: 18 Ramzan ✦ Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak ...
Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai "Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega. Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai " 📕 Surah Baqrah: 2:284
Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat,… Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki fazilat Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki Fazilat Hadees: Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: 'Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain, 1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad -Dus (10) baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe ,…
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…
Qurbani Ka Janwar Kharid'te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe ? » Qurbani Ka Jaanwar Kharid Te Waqt In 4 Chizo Aur Aankh Kaan Ka Khayal Rakhe !! 1) Mafhoom-e-Hadees: Bara Bin Aazib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Poocha Gaya, "Kis Jaanwar Ki Qurbani Se Bachna Chaehai?" *Aap Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Fermaya - "4 Qism Ke Jaawaro Se Bachna Chahiye, 1) Langra: Jiska Langrapan Zahir Ho, 2) Bhainga: Jiska Bhaingapan Zahir Ho, 3) Beemar: Jiski Beemari Wazeh Ho, Aur 4) Kamzor: Jiski Haddiyo Me…
Apni har hajatein apne Rab se hi mange ۞ Hadees: Thabit (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya , "Tum me se har Shakhs ko chahiye ki wo Apni tamam hajatein apne Rab se hi mange, Yanha tak ki Namak bhi usi se mange aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou Wo bhi uss (Allah) se mange." 📕 Jamiat Tirmidhi, Jild 2, 1536-Hasan
Logon ke Hisab ka Waqt Qareeb Aa gaya Logo Ke Hisab Ka Waqt Qareeb Aagaya Allah rabbul izzat Quran e Karim me farmata hai. "Logon ke hisab ka waqt qareeb aa gaya fir bhi woh gaflat me moohn phere hue hain." 📕 Surah Anbiya 21:01
Museebat ya Pareshani ke Waqt Padhne ki Dua ۞ Hadith: Hazrate Asma bin Umays (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne mujhse farmaya ki 'kya main tumhe aise kalimat na sikhauu jinko tum Museebat (ya pareshani) ke Waqt padha karo' (Wo kalimat ye hain) ? ❝ Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa ❞ (ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta) [ Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1512-Sahih ] ♥ हिंदी हदिस : मुसीबत या परेशानी के वक्त पढ़ने की दुआ ♥…
Har Nasha Waali Cheez Haraam hai Har Nasha Waali Cheez Haraam hai ۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta'ala Tinatah-al-khabaal peelayega Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha. Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Wo Sharaab Nasha…
Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai Hadees: Abu Dharr (R.A) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas aaye aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai. Tou aap (ﷺ) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta'ala ne sadqe ka samaan…