Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Jo Shakhs Acchi Tarah Wuzu kare tou Uske Gunaah Badan se Nikal Jaate hai Yahan tak ki Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal Jaate hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 245
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Rozi me Barkat ka Wazifa - Rizq Ki Kunjiyan by Adv.… https://www.youtube.com/watch?v=zbmkExcOzIA Rozi me Barkat ka Dua / Wazifa Rozi Me Barkat lane ka sharayi tareeka kya hai aur Rizq Ki Kunjiyan kya hai iske bare me tafseeli jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. jazakAllahu khairan kaseera. rozi me barkat ki dua, kushada rizq ki dua, rozi rizq ki dua, rizq mein kushadgi ki dua, umar darazi ki dua, rizq mein kushadgi ka wazifa, rizq ki kunjiyan
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se ... Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de." 📕 Bukhari: Hadees 6054
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai 3 Tarah ke Logo par se Qalam Utha diya gaya hai Ummaha tul Momineen Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "Teen(3) tarah ke logo par se qalam utha diya gaya hai (yaani unke gunah nahi likhe jatey), Ek tou sonewala jab tak ki jag na jayein, aur bachcha jab tak ki wo bada na ho jayein, aur pagal jab tak ki wo hosh me na aaye (yaani achchha na ho jayein)." 📕 Sunan an-Nasa'i, Jild 2,…
Devar / Jeth toh Mout ki tarah hai: Hadees Devar / Jeth to Mout ki tarah hai: Hadees Uqba (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum log ajnabi aurto ke paas jaane se bacho! Ek Ansari Sahabi ne sawal kiya ke Aye Allah ke Rasool ! Dewar ke baare me Aap ka kya khayal hai?" Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Dewar to mout hai (is liye aurto ko unse parda karna zaruri hai)." 📕 Bukhari, Hadees 5232 NASIHAT : Ulmao ka kahna hai ki…
Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai ۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai: “Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai aur tumhaari madad ki jaati hai.” 📕 Sahih al-Bukhari 2896
Aadmi apne Dost ke deen pe chalta hai Hadees: Aadmi apne Dost ke deen pe chalta hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aadmi apne Dost ke deen par hota hai. Lihaja tum me se har shakhs ko ye dekhna chahiye ke wo kis se dosti kar raha hai." 📕 Abu Dawood; Hadees: 4833-Hasan
Aadmi ke Buraa hone ke liye yehi kaafi hai ke Kisi Musalman ko Haqeer Samjhne ka Gunaah Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai – "Kisi Aadmi ke Bura hone ke liye yehi Kafi hai ke Wo Apne Muslim Bhai ko Haqeer samjhe. Har Muslim ki Jaan, Maal aur Izzat Tamaam Muslims par Haraam hain." 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2564
Un Logo ki tarah mat ho jana Un Logo ki tarah mat ho jana “Aur Tum Un Logon ki tarha Mat Hojana Jinhone Allah (ke Ahkaam) ko Bhula diya.” 📕 Quran 59:19
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Allah Ta'ala ne Mujhe Jis Ilm-o-Hidayat ke Saath Bheja hai Uski Misaal Uss Baarish ki Tarah hai Jo kisi Zameen par Khub Barsey. (Aur jis Zameen par Barish barsi woh 3 Tarah ki thi)" 1). Uska Ek Tukda Umda Tha Jisne Paani ko Apne Andar Jazab kar liya, phir Khub Ghaas aur Sabza Ugaya. 2). Zameen ka Ek Dusra Umda Tukda…