Fazail-e-Quraan: Part 11

Fazail-e-Quraan: Part 11

Quraan se Doori ki Wajuhaat

Quraane Majid ke Beshumar Fazilto ke Ba-Wajud Log Is’sey padhtey nahi tou ab Aayiye Unn Aham 8 Wajuhat par Gour karte hai ke log Quraan kyu nahi padhtey ?

1). Pahli wajah: Fazail ki La-Ilmi

Quraan se Doori ki Sabse Pahli Wajah ye hai ke Hume Quraan ke Fazail hi nahi Maloom! ke Iskey Faydey kya hai tou jab Kisi Cheez ke Fayde hi Maaloom nahi Hotey tou Insan Istemaal hi nahi karta! Seedi si baat hai.

Lihaja Sab se Pehle Fayde Maloom kijiye ke “Quraan ke Fazail kya hai ? …” Kyunki Hum Fazail nahi jantey tou Fayda nahi uthatey.

Khajana Ghar me pada hai, Uski Ahmiyat nahi Maalom Isiliye Usey Istemal bhi nahi kar paatey, Isko koi Johari aa kar parkhta hai Jo Gairmuslim Iman laatey hai wo parkhtey hai Iss Kitab ko aur Wo jab Iman latey hai tou Hum ko Rashk aata hai, Sharm aati hai ke mere Ghar me ye kitab thi, Maine hi Isko di, Iski Zindagi tou badal gayi lekin Mai wahi ka wahi pada raha.

Tou Iske Fazail Janiye, Fazail Jan’ne se Iski Ahmiyat maloom hogi, Ahmiyat Maloom honey se Ispe Amal karna aasan ho jayega aur Datt kar Ek Musalman Ispey amal karega..

Tou sab se pahli wajah Quraan se Door hone ki ye hai ke Iske Fazail. Iski Ahmiyat se Hum Gafil hai. Tou Ummat ke Jimmedaran ki ye Jimmedari hai ke Awam ko Iske Fazail se rubru karwaye.

* * * * *

2). Dusri wajah: Walidain ki Laparwahi Aulad ki Tarbiyat me

Ye Sabse badi Wajah hai Aaj Quraan se Doori ki ke Walidain apni Aulad ko Quraan ki Ahmiyat aur Fazilat ke Talluk se koi dars nahi letey.

*Hala ke Allah Rabbul Izzat ne Quraan me ye Hukm de Chuka hai ke Aye Imanwalo ! Apne Aap ko aur Apne Ahlo Ayyal Ko Jahhannum Ki Aag Se Bachao” -(Al-Quran 66:6)

Ye Aayat Hum Baar-Baar Padhtey hai Lekin phir bhi Walidain ki Koshish Nazar nahi aati Apne Aulad ki Tarbiyat me.. Ellah Masha’Allah jo karte hai wo Iss se bari hai.

*Baccho ko Hum Badey-Badey Schools me daltey hai ! Daliye Acchi baat hai.

Yahi Baccha Doctor, Engineer, Architecture ban Raha hai aur pata nahi Kin-Kin Shobo me Maharat hasil kar raha hai, Lekin kuch nahi aata hai Usko tou wo hai Allah ka Qalaam usey padhna nahi aata. tou Walidain ki sabse badi kotahi hai Iskey andar.

Aur Aayiye ye baat bhi hum rakh detey hai ke Surah Zumar ki Aayat 15 me Allah ne dekhiye kya baat farmayi.

Agar Walidain Samjh Jaye tou bohot Acchi baat hai.

Aye Nabi Sunlo ! Roze Qayamat Jo sabse badey khasara Uthaney waley log wo hongey Jisne Apne Nafs ko Aur apne Ahlo Ayyal ko Khasare me daal diya.”

Al-Quran 39:15

Lihaja sabse khassara Uthaney wale Log wo honge Jisne Apne Nafs ko bhi Allah ki Hidayat se door rakha aur Apni Ahlo Ayal ki bhi Tarbiyat na ki.

Tou Allah ke Qalam se Doori ki Dusri sabse badi Wajah ye hai ke Walidain ki kotahi Aulad ki Tarbiyat me tou Soch lijiye Apne Rab ko hum kya Jawab denge gour karne waali baat hai mere azeezo !! …

* * * * *

3). Tisri Sabse badi wajah: Ummul Fitan (T.V.)

Allah ke Qalaam se Humari Doori ki Tisri Wajah Television hai, ye bohot badi Fitne ki Jadd hai, Ye Fasion parasti, ye Burayi, Behayai , Besharmi, Zina, Bepardagi, Nowjawano ki Berahravi ye tamam Cheezo ki wajah hai TV. Isiliye Ummul Fitan yaani fitno ki Maa Naam diya humne isey.

Ye Satellite Chanel ne Ummat ka beda gark kar diya, kyunki ke Jab 4 Ghantey, 10 Ghantey Tv Dekhenge tou Allah ka Qalaam kab padhenge? kab mouka milega?

Isiliye Hum Baar-Baar kehtey hai ke Jo log Apni Gharo ki islah chahtey hai wo T.V. ko Uthakar Phenk dey ghar se, tab hi Aapke Gharo ki islah ho sakti hai warna Ummid hi mat kijiye ke Aap ki Naslo ko acchi tarbiyat de paoge.

Kyunki Jabtak Ganda Paani aata rahega , Acha Paani Uss Hauz me nahi bhara ja sakta, ye T.V. gandgi lata hai, aur Aap Kahoge ke ab Deen Sikhaunga, Shariyat Sikhaunga, Kitabo Sunnat ki taleem deta rahunga.

Hume Bataye kya Sikhenge wo Bacche?

Deeno-Shariyat tou Aadhey Ghaney ka hoga, baaki 10 ghantey T.V. dekhete rahenge aur Usi se sikhtey hai ke kya karna hai aur kya nahi karna.

* * * * *

4). Chauthi wajah: Badi Umar ki wajah se Zizak

Ab mai budha ho gaya, Ab Mai bada ho Gaya, 30 Saal ka ho gaya, 50 Saal ka ho gaya, Quran ab kaise Sikhu?

Aksar ye wajah bhi hoti hai Logon ki Quraan se doori ki tou Yaad rahe Quraan ki Taleem hasil karne ki koi makhsoos Umr nahi hai. koi Sharm ki baat nahi hai.

Sahaba par jab Quraan Nazil hua tou koi 60 Saal ka hai, tou koi 70, 80 tou koi 90 Saal ka hai aur sab Dilchaspi se sikh bhi rahe they, kyunki jab Fayda Maloom ho gaya tou kisi bhi Umar me sikha ja sakta hai.

* * * * *

5). Paanchvi wajah: Deegar Qutub aur Wajaeef ki Bharmar

Deegar Qutub aur Wajaif ko Logon ne itni Ahmiyat de di ke Quraan ke Bil muqabeel Logone doosri kitabe Ijaad ki.

Ya kuch Logno ne Quraan ko hata hi diya aur kaha ke iski tou Jarurat hi nahi hai Insaniyat ki hidayat ke liye. Iske liye tou falah kitab hi hidayat ke liye hai. Aur Uss Kitab se aisi Mohabbat karte hai jaisa Allah ki Kitab se honi chahiye, Uss Kitab par wo tawajjo detey jo Allah ki Kitab ka Haq hai.

Tou Deegar Qutub aur Wajaeef ne Is Quraan ki Ahmiyat ko kum kar diya. Allah Hume bachaye aise fitno se.

* * * * *

6). Chati wajah: Bohot Mushkil Kitab hai (Maaz’Allah)

Aapko Ek Misaal dete hai, Aapka ek Bacha hai jo har Roz School se phatke kha kar Aata hai, Aap Ja kar School ke Teachers se wajah puchtey ho ke “Kyu Marte ho Mere Bacche ko har Roz..?”

Tou wo Teacher kehta hai ke “Ye Bacha padhke hi nahi aata kuch, Kal humne isey Physics padhaya, Chemistry padhaya, Botany padhaya phir bhi Isey kuch nahi samjhta…”

Aap kahenge “Ye tou K.G. me Admission dilaya maine Isey Teacher! … aur Aap tou College ke Subject padha rahe usko…”

Lihaja Aap Uss Bewakuf Teacher ko phatkey de kar Aaoge, ke wo log Baccho ko aisa Syllabus padhatey hai Jo Unki Umr ke liye hai hi nahi.

Ab Humara Ek buniyadi sawal hai ke “Allah Rabbul Izzat apne Bando ke liye ek Kitab bana raha hai, Agar Wo Kitab Bando ko hi Samajh na aaye tou koun Bewakuf hua usme ?”

Subhan’Allah !!! Allah Rabbul Izzat tou Hiqmat wala hai. Wo ye kaam nahi kar sakta ke aisi kitab de dey uske bando ko, jisko wo padhna farz karey , Jispe Amal ko farz karey aur ye kahe ke tumko samjh me nahi aayegi.

Jabki ye samajh aati hai siway Iske ke Humne Isey samjhna na chaha aur kuch Mafadparsto ne hume samjhne na diya.

Aur Jaahir si baat hai ke Jab sab ke liye Qalam hai tou kaise hum nahi samajh saktey isey ?

Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai Surah Qamar me aayat 17, 22, 32, 40 aisi 4 baar ye Aayat Repeat hoti hai ke

Humne Iss Quraan ko Nasihat ke liye Aasan kar diya hai! tou hai koi padhney wala aur Is se nasihat haasil karne wala.

(Al-Quran: 54:17)

Allah keh raha hai Aasan hai aur baaz log keh rahe hai Mushkil hai. Subhan’Allah!!

Lihaja Hume Chahiye ke Mafadparsto ke behkaawe se bahar nikley aur Allah ki Kitaab par Gour kare, Uska Muta’ala karey aur uspar amal ki koshish karey.

* * * * *

7). Saatvi wajah: Padhey tou Amal karna padta

Quraan se doori ki Ek wajah yeh bhi hai ke Quraan Padhey tou amal karna padta aur Naa padhe tou bach jatey. Subhan’Allah!!

Agar Wakay me “Quran ko Padhey tou Amal karna padta aur nahi padhey tou chal jata” Iss Usool ko Maan ley tou hume Batayiye sabse pahle Jannat ka Mustaheeq koun?

Jaahir si baat hai kaafir hi hotey, wo tou kehety ke “Aye Allah Padhna aur Naa Padhna tou bohot door ki baat ! Humko tou Maloom hi na thi ke ye teri Kitab hai. Lihaja Hum tou tere Azab se bari ho gaye. (Subhan’Allah)

Hume Bataye kya ye log Jannat me jayenge ? Agar Aap na kahte hai tou phir Ummid kaise karte hai ke Hum bhi na padhe tou Jannat ke Mustaheeq ho jayenge?

Darhakikat ye Shaitan ka diya hua Ek bahana hai jo Usney Allah ke Qalaam se Musalmano ko door karne ke liye diya hai. Sharm ki baat hai ye Kitaab tou aayi thi Insaniyat ke Amal ke liye, lekin humne Is se Doori ko apna Shaiwa bana liya hai.

* * * * *

8). Aathnvi wajah: Quraan padhey tou Gumaarah ho jatey (SubhanAllah)

Ek Sabse Ghatiya aur Intehahyi baqwas wajah ye hai Aaj Humare Quraan se doori ke ki Quraan padhey tou Gumraah ho jatey. Subhan’Allah !!!

Jo Quraan Insaniyat ke liye Kitab-e-Hidayat hai agar wo Musalmano ko hi Gumrah kar dey tou kya dawat denge hum aur aap Gairmuslimo ko ?

Darhakikat wo log khud Gumraah ho Chukey hai Iss Kitab ko chodkar jo kahtey hai ye kitab Gumrahi deti hai.

Allah Rabbul Izzat ek Aayat me farmata hai ke –

Jo Meri Hidayat Ki Pairvi Karega Wo Kabhi Gumraah Nahi Hoga.

(Surah Taha Ayat 123)

Lihaja Allah ki Kitab Hidayat ki hi hai Wo kabhi Gumraahi nahi deti siway iske ke Kafir agar isey Gumrahi ki Niyat se Padhey tou wo Gumrah ho jayega.

Lekin Jo Hidayat ki Niyat se padhta hai wo Sirf aur sirf Hidayat hi pata hai.

Gour Karne wali baat hai Mere Azizo! koi Aam baat nahi.

Ek Badey Mansubo ke tehat Musalmano ko apne hi Rab ke Qalaam se door karne ki sajish ki ja rahi hai. Taaki Ummat ki La-Ilmi ka fayda uthakar ye log apni dukaney chala sakey.

Aur na jaane Kaise-Kaise bahano se Ummat ko Allah ki Kitab se door rakha gaya.

Jabki ye Kitab agar Sab ke liye hai tou ye Mushkil kaise ho sakti hai ?

Ha ye baat Alag hai ke Uski Gehrayi tak Sab nahi ja sakte, Ulema aur Mufakkir hi jayenge, Lekin in Mafadparsto ne Ulemao ki Tafseer bhi nahi padhni di logon ko. taaki kahi inki poley na khul jaye.

Yaad Rahe agar Quraan Ek Samndar hai tou Isme Sab Tair Sakte hai,
Lekin Gota sirf Makhsus Log hi laga saktey hai."

Kyunki ke Quraan sabke liye aaya hai. Allah Janta tha ke ye Quraan Qayamat tak ke liye hidayat hai, Isme Yahudi honge, Isayi honge, Majushi honge , Tamam kism ke mushrik aur kafir honge.

Tou sabke Hisab se Quraan Design kiya hoga na Allah ne! ke sab samajh Sakey, Yakinan sab ke liye Hidayat hai Isme.

Aur Wakiyat bhi suntey hai Hum ke “Falah Yahudi Quraan padha tou Imaan laya, Falah Isayi Quraan Padha aur Imaan Laya.”

Kaise Iman Laya? Humare Over-Smart Hazrat tou kehte hai ke ye Kitaab tou Gumrahi laati hai. Subhan’Allah !!!!

Aakhirat me Aise Logon ki sakht pakad hone waali hai Jo Allah ke Hidayat ke sath aisa Sulooq karte hai, Allah Hume bachaye Inke fitno se.

♥ In’sha’Allah! Agley Part me Quraan ko chorrne ke Anjaam par gour karenge !!

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *