♥ Mafhoom-e-Hadees: Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) Bayaan Karte Hain Ke,
Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Eidgaah Ki Taraf Paidal Chal Kar Jaatey (Eid Ki Namaz Padhne Ke Liye, Eid Ki Namaz Padhkar) Waapas Aatey They (Iski Sanad Me Abdul Rahman Bin Abdullah Umri Zaeef Hai)”
– (Miftah Al Hajah Sharah Ibn Majah 93, Baiheqi Jild 3 Pg 281)
» Ek Aur Riwayat Me Iss Tarah Hai, Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain Ke, “Ye Sunnat Hai Ke Eidgaah Ki Taraf Paidal Jaana Chahiye Aur (Eid-Ul-Fitr Ki Taraf) Jaane Se Pahle Kuch Kha Pee Lena Chahiye”
– (Tohfatul Ahwazi Jild 1 Pg 373)
» Sunnat Yahi Hai Ke Eidgaah Ki Taraf Paidal Chalkar Jaaye Aur Waapas Bhi Paidal Chalkar Aayen, Haan ! Agar Kamzor Aur Mareez Hai, Ya Eidgaah Door Faasle Par Hai, Itna Chalne Ki Taaqat Nahi Tou Phir Sawaari Par Bhi Aana Jayez Hai, Agarchah Imaam Baiheqi Ne Abu Dawood Ke Hawale Se Likha Hai Ke Waapsi Par Sawaar Ho Kar Aasakta Hai
– (Baiheqi Jild 3 Pg 281)