Chaar baato par Iman Lana Farz hai
Hadees: Hazrat Ali (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:
“Jabtak koi banda in 4 baaton par imaan naa laye, to woh Momin nahi ho sakta:
(1) is baat ki Gawahi de ke Allah ke alawa koi ibadat ke layaq nahi,
(2) (is ki bhi gawahi de ke) Main (Muhammad ﷺ) Allah ka Rasool hu, usne mujhe Haq ke saath bheja hai.
(3) Marne aur dobara Zinda hone ka yakin rakhe.
(4) Taqdeer par imaan laye.”