Contents
Deen me Bidat ke Nuqsan:
Allah ne Duniya me tou hume Ijajat (permission) thi Biddate karne ki, lekin waha tou ijadad, Invension aur Discoveries chorr di aur humne Deen ke andar ijadad shuru kar diye, Deen ke andar Biddato ke Badey-Badey towers khadey kar diye. Subhan’Allah !!!
Jiska Nuqsaan ye hua ke agar koi NonMmuslim aisi Biddatto ko deen samajh ley tou jo bhi uske andar Deen-e-Islam se ragbat thi wo bhi khatm ho jayegi aur yahi sochega ke Islam tou humare Dharm se bhi sakht ho gaya. Ye karo, Wo karo, Hazaro Mazaro par hazri lagao, Mare tou ittey kilo chawal do, 10 wa , 30 wa, 40 wa manao, 365 din me hazaro Urs manao, Hatta ke apne Nabi ke wafat ke Deen (12 Rabbil Awwal) ko bhi khushiya manao (Nauzubillah Summa Nauzubillah).
Ye sab dekhkar koi bhi NonMuslim kahega ke “ye sab karne se accha hai ke Mai jaha hu wahi thik hu.”
Yaad rakhiye ye Deen bohot aasan hai Alahamdulillah!.. hiqmato se bhara hai, is Deen ko Rasool’Allah(ﷺ) ne mukkamil kar diya apni hayat me hi, lihaja Isme ab koi Naya Akida, Naya Amal shameel nahi ho sakta.
Aur jo koi is Deen me naya Aqeeda ijad karega wo Rab ke nazdeek mardud kehlayega. kyuni usney ilzam lagaya Rasool’Allah(ﷺ) ki talimat par, Aapki Risalat par, ke ye falah-falah Neki jo humne ijdad ki hai wo neki (nauzubillah) Rasool’Allah(ﷺ) ko maloom na thi isiliye Aap(ﷺ) ne nahi ki. (Maaz’Allah)
Tou Deen me Bidat karna bohot badi khabahat hai, bohot badi Bimari hai, ye Ummat ke taubao ko Kabool nahi hone deti. Allah ke paas Biddat karnewalo ke koi Amal kaabile kabool nahi hotey, Houz-e-Kousar se bhi Hakaal diye Jayenge.
Rasool’Allah(ﷺ) ki Aakhri Wasiyat aur Jo Darr ka Ijhaar Aapne kiya wo yahi tha ke Deen me Biddate ijad mat karna aur Aap(ﷺ) ne is baat ki wajahat bhi kar di ke “Jo koi Humare Deen me nayi cheez ijad karega wo Mardud kar diya jayega, uski tauba bhi qabool nahi hogi aur uska thikana Jahannum ki aag hogi.”
SABAQ:
Tou lihaja har muamlo me Sunnat ko Apne upar lazim aur farz jaane, us pea agar Hum amal karey tou In sha Allah-Ul-Azeez Biddate humari zindagiyo se door jayegi. lekin humne agar Sunnato ko chorr diya tou ye Biddate humare zindagi ka hissa ban jayengi. (Allah Reham kare)
Yaad rakhiye Sunnat-Sunnat hoti hai, is se Mohabbat wo Rasool’Allah(ﷺ) se Mohabbat hai aur RasoolAllah(ﷺ) se Mohabbat wo Jannat me jaane ki zaamin hogi humare liye.
Agar ye Hum karenge tou duniya me bhi surkhuru honge aur In sha Allah-Ul-Azeez duniya me kuch na hua tou Aakhirat me tou jarur surkhuru honge, Allah ke paas kaamiyab kehlayenge aur khub Ajar payenge apne amal ka, chahe fir thodey hi kyu na ho.
Lekin agar Biddat kar ke khub amal bhi karenge tou “Aamilatun Nasiba, Tasla Naran Hamiya” (Surah Ghasiya Ayat 3-4) yaani kitna hi Amal karo lekin Jahannum ke indhan ban’ne wale hai.
Tou lihaja agar apne amaal ko qabuliyat tak pohchana hai tou Sunnat-e-Rasool ko thamey aur Deen me har nayi Biddat se, har naye aqide se airaz(Avoid) karey. In sha Allah-Ul-Azeez hume kamiyabi milegi.
Allah Rabbul Izzat se Aakhir me Dua hai ke Allah hume kehne aur sun’ne se jyada amal ki taufiq dey,
– Hume Sunnat-e-Rasool ka muttabey banaye,
– Rasool’Allah(ﷺ) ki sacchi mohabbat hum’me daley,
– Unke tareeke par chalna humare liye aasan kare,
– Sunnato ko samjhna aur uspar chalna humare liye aasan kare,
– Humari naslo me Sunnat-e-Rasool ko baaqi rakhe,
– Aur tamam kism ke jahilana Aqaid se humare imaan ki salamti ata farmaye,
– Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhye.
– Khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Related Posts: