Aulaad ki Tarbiyat – Part 9
K). Tarbiyat ka 11th marhala:
School, College aur Darasgah ka kirdar Aulad ki Tarbiyat me
Aulaad ki tarbiyat me Maa Baap ke baad sabse aham muqam Darasgah(schools & college etc) ka hai, tou ek walidain ke liye zaruri hai ke acche Darasgah, accha School accha College, acche Madarse ka intekhab kare apni Aulad ke liye.
Hum dekhte hai ke aaj Duniya ne ye tarika banaya ke apne mazhab ke tablig ke liye wo school khol rahe hai Isaiyon(Christian) ne, Hinduon ne aur bhi mazhab walo ne apne School khol diye aur unhone in schools ko taleemi darasgah banaya taki wo apne mazhab ki tablig kare.
School ke bare me Musalmano ki kotahi ka Anjam:
Aaj afsos ki baat hai ke Musalmano ne is field me koyi kaam nahi kiya, Madarse tou bahut banaye lekin darasgah ke liye kuch kaam nahi kiya, Illa mashaAllah. fir majburan humare Bacchon ko jana padta hai aise schools me, aisi Darasgaho me jaha usko aadha issai(Christian), aadha Hindu bana diya jata hai unki taleem khatam hone tak.
Jahir si baat hai kab tak ek bacha us School me jakar issaiyat(Christianity) se bachta rahegha jaha roz prayer ho rahi hai Isa Alaihi Salam (jesus christ) ke naam se aur wo khada hai 10 saal se waha ja kar wo kitne din bach payega uss takreero se, un baaton se ?.
Tou Musalmano ne ispar koyi kaam nahi kiya jab ke aaj Duniya ne apne deen ke tableeg ka markaz bana diya School ko humne is muamle me koyi mehnat nahi ki aur agar ki bhi tou deen se alag karke kiya. aur aise school khole jaha Islam ki kuch batein nahi batayi jati hai.
Gair Musalmano ne Taleem aur Mazhab ko sath kar diya aur Musalmano ne alag kar diya. Hume bataiyiye aisa koi Isai(Christian) missionary school jaha church nahi? lekin hume batayiye aisa koyi school jaha Masjid ho batayiye koyi School agar aap jante ho tou? …
Islamic Schools ki Jarurat:
Lihaja Apne Bacche ke liye aise School ka intekab kijiye jahan Deeni aur Dunyawi taleem dono sath chalte ho. Ab koi kahe aisa school na ho tou kya kare tou phir aise schools ka intekhab kijiye jo mukammil Neutral ho aur sath me aise ustad ka intezam kijiye jo Quran padhaye, Hadees padhaye aur isi tarah Dua Zikr-o-Azkar karwaye sikhaye. tou jaha School jayega wahi uske liye ustad ka intezam kare. lekin jaha ye dono taleem sath nahi diye jarhe ho to apne baccho ko Masjid bheje taaki wahan moulana usey Qurano Hadees padhna sikhaye aur yaad karwaye aur Deen ka Ilm de taki aapka baccha gumrahiyo se mahfuz rahe.
Isi tarah agar Musalman Zimedar log hai Jo ye takat rutba aur makam rakhte hai wo zarur aise Society qayam kare jaha School tameer kar ke iske andar Deeni aur Duniyawi taleem dono ek sath ho.
To be continue …