Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya,
“Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada (Baat Chit Karna) Chhor de (Narazgi ki Wazah se), Jisne 3 Din se Zyada (Baat Chit Karna) Chhorh diya aur(Isi Halat me) Marr Gaya tou Wo Dozakh me Dakhil hoga.”
Aisi Aurat ko Nikaah ka Paigaam Naa Bheje ... Aisi Aurat ko Nikaah ka Paigaam Naa Bheje Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Koi Shakhs kisi Aurat ke Paas Nikah ka Paighaam na bheje agar Uss Shakhs ka Bhai Uss hi Aurat ke Paas pehle se hi Shaadi ka Paighaam bhej chuka ho.” 📕 Sunan Ibn Majah: Hadith#1868-Sahih Takhreej: Agar ye Maaloom ho Jaaye ki Uss Aurat ne abhi tak pehla waala Paighaam Qubool nahi kiya hai aur Na hi wo Uss…
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Jo Shaksh Hathiyar se apne bhai ki taraf ishara… ✦ Hadith: Farishto ki Lanat ✦ Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki, “ Jo Shakhs Hathiyar se apne bhai ki taraf ishara kare to farishte us par laanat karte rehte hain jab tak ki aisa karne se ruk na jaye chahe wo uska saga bhai ho. ” - (Sahih Muslim 2616 a @ www.ummat-e-nabi.com/home) अबू हुरैरा (र.अ.) से रिवायत है की रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फरमाया की “ जो शख्स हथयार से अपने भाई की…
Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Hadees of the Day Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Abu Darda (R.A) se Riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“ 📕 Sunan Abi Dawud 1534-Sahih Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Musalman ki apne bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai, uske paas ek farishta hai…
Kya Ek Musalman Dusre Musalman ko Baddua de Sakta hai? Aajkal muashre me dekha jata hai ke Musalmano ka aapas me badduwa dena aam se ho gaya hai, lekin kya Shariyat ne hume is baat ki ijajat di hai ke Musalman aapas me Baddua de, Kya musalman ko di hui bad'dua lagti hai ? janne ke liye is mukhtasar se video bayan ka mutala kare.
Apne Bhai ko Uskey Gunaaho par Sharminda na Karey ... Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya - “Jis Shakhs ne Apne Bhai ko kisi Aise Gunaah par Sharminda kiya Jis se Woh Taubah kar Chuka tha, Tou Woh Uss Waqt tak na Marega Jab tak ke Woh Uss Gunaah ko na kar lega.” 📕 Sunan Tirmizi, Hadees 2505, 📕 Shobul Imaan, Hadees 6271
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…
Apne Bhai ko Fayda Pahunchao Apne Bhai ko Fayda Pahunchao RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Tum me se Jo Shakhs Apne Bhai ko Fayda Pahunchane ki Taaqat rakhta ho tou Usey Chahiye ki Woh Apne Bhai ko Fayda Pahunchaye.” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2199
Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees ۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
Allah ke yaha Sabse zyada Mehboob Shaks koun? Allah ke yaha Sabse zyada Mehboob Shaks koun? Hadees: Ek Aadmi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aaya aur kaha: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! kounsa shakhs Allah subhanahu ko zyada mehboob hai aur kounsa amal Allah subhanahu ko zyada pasandida hai ? ..." Aap (ﷺ) ne farmaya: "Logo me sabse zyada mehboob Allah Subhanahu ke yaha wo shaks hai jo logo ko sabse zyada Nafa dene wala hai aur Allah subhanahu ko sabse zyada pasandida amal wo khushi hai jo musalman kisi…
Budhapa Musalman ka Noor hai ✦ Hadees: Budhapa Musalman ka Noor Hai Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne "Safaid Baalo ko Nikaalney se Manaa farmaya hai,Aur farmaya "Ye Budhapa Musalman ka Noor hai." [ Tirmizi; Hadees. 2821 ]
Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7072
Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo ... Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo " Allah ke Nazdeek Sabse Zyada Izzat wala Woh hai Jo Sabse Zyada (Allah se) Darne wala hai." 📕 Quran, 49:13
Apne Amaal ko Barbaad naa karo Apne Amaal ko Barbaad naa karo "Aye Imanwalo! Allah ki Ita'at karo aur Uske Rasool (ﷺ) ki Itaat karo, aur (Nafarmani kar ke) apne amaal ko barbaad na karo." 📕 Quran 47:33