Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal (1 se 13 Zul Hijjah) ko Sooraj Ghuroob Hone Tak Padhi Jane Wali Takbeeraat الله اكبر الله اكبر لا اله الا الله والله اكبر الله أكبر ولله الحمد Allahu Akbar, Allahu Akbar, la ilaha illallah, wallahu akbar, Allahu Akbar, walillahil hamd. Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, Allah ke Siwa koi Ma'bood nahi, aur Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, aur Allah ke Liye hi Sab Tareef hai. 📕 Musannaf Ibn Abi Shaybah: 5694 Tahleel aur…
Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He…
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne… Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se bacho Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne aap ko bachao." 📕 Bukhari; Hadees: 6401
Raston par Baithne ka Haq Ada karo Raaston par Baithne ka Haq Ada karo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sadko (Rasto) par baithane se bacho." Sahaba ne kaha ki "hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain." is par, Nabi (ﷺ) ne kaha - "Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo." Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha, "Apni…
Aisi baatein kiya na karo : Hadees Aisi baatein kiya na karo : Hadees Hadees: Aas bin Amr Tufaawi (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Aisi baatein na kaho jo dusro ko sun'ne me buri lage." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 16701
Murdo Ke Liye Maghfirat Talab Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate: "Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo, Kyun Ke Ab Us'sey Sawaal Kiye Jayenge.." - (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat Hadees of the Day Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: ❝Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta'ala ko Jis Qadar Mahboob wa Pasand hain, Dusre dino ke Aamal iss Qadr mahboob nahi." Sahaba-e-Kiram (R.A) ne arz kiya: "Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Dusre dino ka jihaad bhi ?" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Dusre dino ka Jihaad bhi iss Qadr mahboob nahi, haan! Mujaahid apni jaan aur maal Allah…
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞ 📕 Al-Quran; Surah: Aale-Imran 3:92 “Jo Bhalayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa(Sawaab) Payega aur Jo Burayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa (Sazaa) Ppayega”. 📕 Surah Nisa 4:85 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya -"Meri Sifarish ka fayda har Uss Shakhs ko pahunchega Jo Shirk se bach bachakar…
Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Hadees-e-Nabwi ﷺ ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Farwah bin Nofal (R.A) se mairvi hai,Unhone Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki khidmat me hazir ho kar arz kiya, "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe koi aisi cheez bataayen jisey Mai bistar par jatey waqt padha karu.' Tou Rasool'Allah ne farmaya "Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai." 📕 Sunan Tarimzi, Jild-5, Pg-257, Hadees. 3414
Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakeezgi Na Jataya Karo ! ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Allah Ta’ala Qur’an mein farmate hain: “Jo log sagirah gunaahon se aur behayayi ki baaton se bache rehte hain, beshaq tumhara Parwardigar badi bakhshish wala hai, wahi tumko khub jaanta hai. Jab Usne tumko mitti se paida kiya aur jab tum apni maa ke pait mein they, tou takabbur (pride) se apne nafs ki pakeezgi na jataya karo. Jo parhezgar hai usko Allah khub jaanta hai.”– (Surah Najm, Ayat 32) Tafseer Ka Nukta 1️⃣ Mufti Ahmed Yar…
Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ ‟ Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna bhali baat kaho). ‟ मांगने वाले को झिड़का न करो (अगर हो तो दे दो वरना भली बात कहो)। ‟ मांगण्याराला हाकळवु नका (होत असेल तर द्या अथवा चांगले शब्द बोला). ‟ And do not rebuke the beggar. - (Al-Quran; Surah Zuha 93:10)
Tum Apne kisi Bhai se Jhagda na karo Hadees of the Day Tum Apne kisi Bhai se Jhagda na karo Abdullah ibn Abbas (R.A) se Riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Apne Kisi Bhai se Jhagda Na Karo aur na Us se Aisa mazaq karo (Jis se us ko Taqleef ho) aur Us se aisa Waada na karo jisko poora na kar sako.." 📕 Tirmizi, Hadees 1995 अब्दुल्लाह इब्न अब्बास (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के,अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: "तुम अपने किसी भाई…