Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs Maal wa Doulat badhaane ke Liye maangna shuru karta hai, to Allah Taala us ki Doulat ko us se bhi kum kar dega.❞ 📕 Musnade Ahmed, Hadees 9624
Lalach aur Buzdili Insan ki sabse buri aadatein hai Lalach aur Buzdili Insan ki sabse buri aadatein hai Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‟Insan me paayi jaani waali sabse buri aadatein; intehayi darje ka lalach aur buzdili hai. 📕 Abu Dawood, Hadees 2511
Allah ka Fazl hai Maalo Doulat - Allah jise Chahta… ✦ Hadith: Maal-O-Daulat Allah ka Fazl hai, Wo jise chahta hai ata karta hai. Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas kuch Sahaba-e-kiram (RaziAllahu Anhu) aatey hai jo Gareeb they, RasoolAllah (ﷺ) se arz karte hai "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! yeh Maaldaar Sahaba Namaz padhtey hai, Roza rakhtey hai, Hajj karte hai, Zakaat detey hai, tamaam kaam karte hai, uskey bawajud Allah ki Raah me maal kharch karke Nekiyon me humse aagey nikal jaate hai. Lihaja Aap hume koi aisa Amal (solution) de…
Hadith: Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam… Hadith: 23-March: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ❝ Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam nahih hai, balke asal maaldari tou dil ki maaldari hai. ? Ibn Majah; Hadees 4137
Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon. Deney wala to Allah hi hai Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega, yaha…
Tanhaai bure sathi se behtar hai aur nek saathi… Tanhaai bure sathi se behtar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi behtar hai tanhaai se." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadess: 4993
Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi… Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi kiya to Main Zameen bhar Magfirat lekar tumse miluga' ۞ Hadees-e-Qudsi: Abu Dhar (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: 'Allah Subhanahu farmata hai - "Neki (ka ajar) 10 guna hai ya main ziyada bhi kar sakta hu, aur Gunah ek hi hai ya mein usko bhi bakhash dun, agar tum Zameen bhar ke Gunah lekar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho tou…
Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai? ۞ Mafhum-e-Hadees: Abdullah Ibne Masud (RaziAllahu Anhu) ka ibtedayi dour tha, Aapki Biwi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aayi aur kehne lagi ke "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Meri Itni-Itni Zakat banti hai , Mai kis ko du, koun jyada Mustahik hai ?" Jab wo Aap (ﷺ) se Mas'ala daryaft kar rahi thi tabhi Abdullah Ibn Masood (R.A) piche se aaye aur kaha ke "Ya Rasool'Allah (ﷺ)! aisi Biwi ke bare me Aap kya farmayenge jo Zakaat tou deti hai…
Insan Duniya me ess Qadar Mashghool hota hai ke ... "Insan Dunia me Ess Qadar Mashghool hota hai ke,Usey Pata bhi nahi chalta ke Jis Kapde se Uska Kafan Ban'na hai Wo Bazar me aa chuka hai." 📕 Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) "इंसान दुनिया में एस क़दर मशग़ूल होता है के उसे पता भी नहीं चलता के जिस कपडे से उसका कफन बनना है वो बाजार में आ चूका है।" 📕 हजरत अली रजि०
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Insan ka Pait sirf Qabr ki Mitti bhar sakti hai Roman Urdu ۞ Hadees: Ibn Abbas (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Insaan ke pass Maal ki Do wadiyan (valley) ho tou teesri ka khwahish mand hoga aur insaan ka pait Mitti ke siwa aur koi cheej nahi bhar sakti aur ALLAH us shaksh ki Tauba Qubul karta hai jo sacchi tauba karta hai. ❞ 📕 Sahih Bukhari, Vol 7 , 6436 हिंदी ۞ हदिस : इब्ने अब्बास (रज़ि अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ)…
Reedh ki Haddi se Insan Dubara Paida kiya jayega Reedh ki Haddi se Insan Dubara Paida kiya jayega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : “Insan (ke Jism) ka har Hissa Zameen kha Jaati hai Siwaye Reedh ki Haddi (Tailbone) ke. Usi se Woh Paida hua hai aur Usi se Woh (Mout ke baad) Dobara Paida kiya Jayega.” 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2955 (7415)
Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: "Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr aata hai tou Unke Dil hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat unke Saamne padkar sunaayi jaati hai tou wo Aayat unke Imaan ko aur Zyaada kar deti hai, aur wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz ki Paabandi karte hai, aur jo kuch Hamne(Allah) Unko diya hai Uss me se Kharch karte hai, Pas…
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ... Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde…