4. Ramzan ka Umrah Hajj ke barabar sawab deta hai:
۞ Hadees: Hazrate Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne ek Ansari Sahabiya se farmaya “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai.” [ Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih ]
Subhan’Allah! Gour karne wali baat hai ke Ramzan ka Umraah Hajj ke barabar sawab deta hai. lekin yaad rahe ye Hajj ko saaket nahi karta. Hajj ko Exceptional nahi kar deta ke Hajj ke badle ab hum Umrah hi karenge. aisa bilkul bhi nahi hai, lekin uske barabar ajar aur sawab deta hai.
Tou Allah Ta’ala ne jisko maalo doulat ke fazl se nawaza ho wo jarur is mahine me Umrah ki koshish karey.
5. Roza aur Quraan Sifarshi ban’ne wale hai:
Har shakhs chahta hai ke apne Aamal ke alawa bhi mai kuch aisa karu zindagi me ki meri Shifarish ho Qayamat ke din. Fir chahe Nabi ki Shifarish ho, Chahe Sahaba ki Sifarish ho, Chahe Allah ke Waliyo ki Sifarish ho. har Shakhs apne liye Allah ko Razi karne ki Sifarish ki Jeddo Jehad me laga rehta hai.
Aayiye ek Jayaz Sifarish par gour karte hai.
۞ Hadees: me aata hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke “Qayamat ke din Roza aur Quraan sifarish karnege uspe amal karnewale ke haq me.” aur Roza aakar kahega ke “Aye Allah ! ye Shakhs meri Khaatir Khane-Piney se aur Shehwat se rukta raha. lihaja meri sifarish iskey haq me kabool kar.” aur Aap (Sallallahu alaihay wasallam) ne aagey farmaya ke: “iski sifarish qabool hogi.”
Aur Quraan aa kar Allah se sifarish karega ke “Aye Allah! ye banda mere liye Raato me jaagta raha (Qayamulil yaani Raato ki Namaz me Tilwat-e-Quran karta raha). lihaja meri sifarish iskey haq me qabool kar…”
Aur Aap (ﷺ) aagey farmatey hai ke “iski bhi sifarish qabool ki jayegi, dono ki sifarish qabool ki jayegi.” [Musnade Ahmad, Tibrani]
Tou Roza Sifarashi hai, khushu aur khuju ke sath, tamam fitno se khudke Nafs ko bachatey huye, jaisa iska haq hai agar waisa isko hum rakhenge tou ‘in sha Allah ul Azeez’ hum Roze ke Sifarish ke Mustahiq ho jayenge.
♥ in sha Allah ul azeez! Allah Ta’ala Hume kehne Sun’ne se jyada amal ki taufiq dey.
To be Continued …
Recent Posts
Aashiq Wa Mashuq Ka Tohfa Dena (Zinaa Ki) Rishwat Hai ….
807,419
हज़रत इदरीस अलैहि सलाम » Qasas ul Anbiya: Part 5
Idrees Alaihis Salam: Qasas-ul-Ambiya Series in Hindi: Post 5
811,048
Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein
Hurmat wale mahine Chaar hain aur in mein (khaas karke) apne upar zulm na karo (yaani gunaah na karo)
3,578
7vi sadi me hi Bharat me hui thi Islam ki Aamad by NDTV report
7 वि सदी में ही भारत में हुआ मुसलमानों का आगमन
807,234
Mayyat Ke Ghar Khaanaa Pakaa Kar Bhijwaana …
807,457
Dua e Qunoot | Witr ki Namaz mein padhne ki Dua
820,584
Nabiyo Aur Rasoolo Ka Jikr Quraan Me ….
807,453
Awwabin (Chasht/Duha) ki 2 Rakaat Namaz Badan ke sare jod (joints) ka Sadqa hai
808,525
Sunnat Ki Ahmiyat: Part 5
807,837
Hadith: Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare
807,309
यूनिफार्म सिविल कोड की हकीकत और उसके खतरनाक नुकसानात : ज़ैद पटेल
807,277
Hadith: Tum me se har Aadmi ko us ki rozi is tarh talash karti hai jaise marne wale ko mout
807,631
Taajjub Hai Uss Ghafil Shakhs Par ….
807,294
Hiqayat (Part 37) » Yaqoob (Alaihay Salam)
808,132
नमाज़ की सुरह और उनका हिंदी तर्जुमा
Namaz ki Surah aur unka Hindi Tajuma (4 Qul Hindi)
965,905
2
3
…
174
Next
Install App