Allah kisi Shakhs ko uski Taqat se Zyada nahi Aazmata …

ALLAH kisi Shakhs ko uski Taqat se Zyada nahi Aazmata Quran 2:286

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

ALLAH kisi Shakhs ko uski Taqat se Zyada nahi Aazmata

“ALLAH kisi Shakhs ko uski Taqat se Zyada nahi Aazmata, Achche kaam karega tou usko uska fayda milega aur Burey karega tou usiko iska Nuqsan hoga.”

📕 Surah Al-Baqara 2:286


Har Bhalayi Allah ki taraf se hai

“Aur tum par Jo Museebat aati hai wo tumhare hi haatho ke kiye huye Kaamo se aati hai aur wo (Allah) bahut se Gunaah muaf farma deta hai. Aur tum Zameen mein Allah ko Aajiz nahi kar sakte (Yaani tum ALLAH ke Azab se bach nahi sakte) aur Allah ke siwa Na koi tumhara kaarsaaz hai aur na koi madadgaar.”

📕 Surah Ash-Shura 42:30-31


Burayi humare hatho ki kamayi hai

“Tum ko jo Bhalayi pahunchti hai wo ALLAH Subhanahu ki taraf se hai aur tum ko jo bhi Burayee pahuncti hai wo Tumhare Nafs ki taraf se hai.”

📕 Surah An-Nisa 4:79


Aazmaishey Momin par Aatey Rahete hai

✦ Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmatey hai ke:

“Aazmaishey Momin par Aatey Rahete hai,
Uski jaan me aati hai, Uske Maal me aati hai aur uski Aulaad me aati hai, 
Hatta ke jab wo apne Rab ki taraf lout’ta hai tou
Uspar koi Gunaah baaki nahi rehta.”

📕 Jami At-Tirmidhi, Hadith No. 2398


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *