Hadees: Amr-bin-Shu’aib (R.A) Aapne Walid se aur Wo Unke Dada se riwayat karte hain ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Subhanahu Ta’ala apne Bande par apni Neymat ka Izhar pasand karta hai.”
📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, Hadees 723-Sahih
# Sabaq: Yani Allah Subhanahu Ta’ala ki taraf se koi Ne’mat ata ki Gayee ho toh usko Chhupana nahi Chahiye, aur dikhawa bhi is qadr na ho Ke riyakari ke aadi ho jaye.
– Lihaja Jab bhi Kisi neymat Ka Tazkira ho uspar Allah ki Humdo Sana bayan karey.
Jaise ke Masha’Allah, Subhan’Allah, Alahmdulillah, ShukranAllah.
Related Posts: