Allah Ke Nazdik Sabse Zyada Pasandida Kaam

♥ Mafhoom-e-Hadees: Aayesha (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Din Unke Paas Aaye
Aur Unke Paas Uss Waqt Koi Aurat Bethi Thi.
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Pucha Ke – “Kaun Hai?”
*Maayi Aayesha (RaziAllahu Anha) Boli Ke –
“Yeh Falaa Aurat Hai Aur Uski Namaz Ki Kasrat Bayaan Karne Lagi”.

*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Thehro (Dekho) Tum Utney Hi Aamal Ki Jimmedari Apne Uper Lo Jin Ki (Hamesha Karne Ki) Tum Ko Taaqat Ho Isliye Ke Allah Ta’ala Sawaab Dene Se Nahi Thakta JabTak Ke Tum Ibadat Karne Se Thak Jaao. Aur Allah Ke Nazdeek (Sab Se) Zyada Mehboob Woh Deen (Amal) Hai Jis Ko Karne Wala Hamesha Kar Sake”.
(Sahih Bukhari, Vol 1, Hadith no.42)

5/5 - (2 votes)

Leave a Reply

Related Posts: