Sabse bada sood Aaj ki Hadees | Hadees of the Day Sabse bada sood ✦ Said ibn Zayd (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare." 📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1448-Sahih
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Allah se Madad ki Dua - Aye Allah ! tera Inkar… Allah se Madad ki Dua - Quran e Kareem me Allah Taala ne jo hume Madad Mangne ki Dua sikhayi - Aye Allah ! tera Inkar karnewalo ke Muqable me humari madad farma ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah se Madad ki Dua in Arabic ربَّنَا اغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسْرَافَنَا فِي أَمْرِنَا وَثَبِّتْ أَقْدَامَنَا وانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَِ Allah se Madad ki Dua in Roman English "Rabbana-ghfir lana dhunuubana wa israfana fi amrina wa thabbit aqdamana wansurna 'alal qawmil kafireen" Allah se…
Sabse afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise Rishtedaar par kiya jaaye Hadees: Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 3427
Qayamat ke din sabse pehle kiska hisab hoga Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Qayamat ke Din Logon ke Darmiyan Sabse Pehle Jis Cheez ka Faisla hoga woh Na Haq Khoon ke Badle ka hoga.” 📕 Sahih Bukhari: Hadees 6533
Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Beshaq Allah Taala ke Nazdeeq Sabse Behtareen Amal (Neki) wo hai jo humesha kiya jaye chahe wo kum hi kyun na ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6464
Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai Hadees: Abdullah Ibne Amr (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‟Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai." 📕 Musnad al-Shihab, Hadees 1280
Sabse accha Musalman koun hai ✦ Hadees: Sabse Acche Musalman ki pehchan Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke, Kuch Sahaba ne poocha ya RasoolAllah (ﷺ) ! koun sa Islam afzal hai? (Yaani sabse acha Musalman koun hai) Tou Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Woh Musalman Jis ke Zubaan aur Haath se Dusre Musalman Mehfuz ho." 📕 Sahih Bukhari: 11 ✦ हिंदी हदिस : सबसे अच्छे मुसलमान की पेहचान अबू मूसा (र.अ) से रिवायत है के, कुछ सहाबा ने पूछा, या रसूल अल्लाह ﷺ ! कौन सा…
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Hadees: Sabse se Zyada Barqat wala Nikah Sabse se Zyada Barqat wala Nikah Hadees: Aaisha (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse se Zyada Barqat wala Nikah woh hai, jisme Mehnat, Mashaqqat aur Kharch kum ho." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 24529
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
Sayyidul Istighfar : Allah se Magfirat Maangney ka… "Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana 'Ala Ahdika Wa Wa'dika Mastata'tu, A'udhu Bika Min Sharri Ma Sana'tu, Abu'u Laka Bini'matika 'Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta." Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - Sayyidul Istighfar (Allah se Magfirat Maangney ka sabse accha Tariqa) ye hai : "Aye Allah ! Tu mera Rab hai, Tere siwa koi Maabud nahi, Tuney hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi banda hu, Main…
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?" Allah Taala ne farmaya ke: "Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de." 📕 Sho'abul Iman 8327
Meezan me Sabse Bhaari acche Akhlaq (Hadees) Meezan me Sabse Bhaari acche Akhlaq Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : Meezan me Sabse Bhaari Cheez Acche Akhlaq Hoga. 📕 Sunan Abu Dawood; 4799, Sahih
Hadees: Allah Ta'ala ko Lagne waali Sabse Boori baat Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanhu Ta'ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki Allah se Daro aur wo kahne lage ke Tu apni fikar kar." 📕 Al SilSila As Sahiha, 2809, 📕Al Baihiqi,601-Sahih