Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Ramadan Day 15 | Jhoot bolne aur Dagabaji karne walo… Ramadan Day 15 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou ...
Taqwa walo ke liye Nijaat hai Taqwa walo ke liye Nijaat hai Allah Ta'ala Farmata Hai: “Jo Shakhs Allah se Darta hai Allah Uske liye Chhutkare ki Raah Nikaal deta hai.” 📕 Quran 65:2
Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat…
Fazilate Taqwa aur Tawakkul .... ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Fazilate Taqwa Aur Tawakkul Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: Jo Shakhs Allah Aur Roze Qayamat Par Imaan Rakhta ho aur Taqwa Ikhtiyar kar Ley tou Allah Uskey liye Nijaat ke Rastey Nikal deta hai. aur Waha se Rozi Ata Karta hai Jaha se Usney Gumaan bhi Naa kiya ho. 📕 Surah At-Talaq: 65:2-3 Iss Aayat Ke Talluk Se Abdullah Ibne Masud (R.) Farmatey Hai -"Ghamo Ko, Musibato Ko Door Karne Wali Quraan Ki Sabse Azeem Aayat…
Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai ... Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shaks Allah se milne ko pasand karta hai, Allah bhi us se milne ko pasand karta hain aur jo shaks Allah se milne ko pasand nahi karta, Allah bhi us se milne ko pasand nahi karta." Hazrate Aisha, ya Aap (ﷺ) ki kisi biwi ne kaha: "Lekin maut ko to hum bhi pasand nahi karte." Aap (ﷺ) ne farmaya: "Allah ke milne se mout muraad…
Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye 01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183
Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi…
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Ye Wo Log Hongey Jo Allah par Mukammil Tawakkul… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai , Mujhe Jibrayeel (Alahi Salam) ne Jannat me ek bada Mahal dikhaya, jab mai usme dakhil hone laga tou mere sath meri ummat ke 70 hazar log dakhil ho gaye jo bagair hisab kitab ke jannat me jayenge ,. Sahaba ne pucha "ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! wo koun log they ? ,.." Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "ye mere Ummat ke wo log they jo Acche aur…
Qurani Dua-12 - Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene… Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene walo me likh le Bismillah-Hirrahman-Nirrahim رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنزَلَتْ وَاتَّبَعْنَا الرَّسُولَ فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَِ Rabbana amanna bima anzalta wattaba 'nar-Rusula fak-tubna ma'ash-Shahideen ‟ Aye Humare Rab! Jo kuch tuney nazil kiya hum us par iman laye aur humne tere Rasool ki pairvi ikhteyar kar li, bas tu hume (haq ki) Gawahi dene walo me likh le [3:53] ‟ हमारे रब! तूने जो कुछ उतारा है, हम उसपर ईमान लाए और इस रसूल का…
Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek… Hadith: Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek ataa karta hain ✦ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain. Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai, ya phir uski koi taklif us…
Jis ne Meri Sunnat se Muhabbat ki Usne Mujh se Mohabbat ki - Roman Urdu - ۞ Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) ka irshade Mubarak hai ke: "Jis ne Meri Sunnat se Mohabbat ki (Yaani Uspar Amal kiya), Tou Usne Mujh se Mohabbat ki aur jis ne Mujh se Mohabbat ki wo Jannat me Mere saath hoga." 📕 Jami at-Tirmidhi 2678 - हिंदी - ۞ हदिस: अल्लाह के रसूल (ﷺ) का इरशादे मुबारक है के : "जिस ने मेरी सुन्नत से मोहब्बत की (यानी उसपर अमल किया), तो उसने मुझ से मोहब्बत…