Bewaon (Widow) aur Miskeeno (Poor) ke kaam aane wale… Bewaon aur Miskeeno ke kaam aane wale ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya "Bewaon (Widow) aur Miskeenon (Gareeb) ke kaam aane wala Allah ki Raah me Jihaad karne wale ke barabar hai, ya Raat bhar Ibadat aur Din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6006
Sona (Gold) aur Resham Mardo par Haraam Sona (Gold) Aur Resham Mardo Par Haraam Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai - "Sona (Gold) aur Resham Meri Ummat ki Aurato par Halaalaur Mardon Par Haraam hai." 📕 Sunan an-Nasa'i #5148; Hadees 109
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 671 Beshaq Allah ko aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat par Dars ho. Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek aisi Masjid bhi Todney ka Hukm diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me…
Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain ... Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,Mai ne Rasool'Allah (ﷺ) se suna ki - "Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey." *Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya. Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey…
Musalman Wo Hai Jis ke Haath aur Zubaan se Mehfooz ... Musalman ke Haath aur Zubaan se Mehfooz Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : “Musalman Wo hai Jis ki Zubaan aur Haath se Dusre Musalman Mahfooz Rahe.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6484 » Wajahat: Aaj kitney Musalmaan hai jo ye Gawahi de ke Mai dusre Musalman ke Sharr se Mehfuz hu. Illa-Masha'Allah bohot kum Musalman honge jinke Khush-Akhlakhi Ki Gawahi hum Dey Payenge. Baaki Hazraat ki tou kya baat. Allah Reham karey !Aaj humari hi BaddAkhlakhiyo ki wajah hai…
Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Hadees: Abu Hurraia (R.A) ka bayan hain ke,Maine RasoolAllah (ﷺ) Ko Farmatey Huwe Suna - "Jis Roz Allah ne Rehmat ko Paida kiya tou Uskey 100 Hissay kiyeaur 99 hissay Apne Paas rakh kar Ek (1) hissa Apni Saari Makhlooq ke liye Bhej Diya. Pas Agar Kafir bhi Yeh Jaan le ke Allah ke Paas kitni Rehmat hai touWoh bhi Jannat se Mayoos na ho aur agar Momin yeh Jaan…
Apne Aapko aur Biwi-Baccho ko Jahannum ki Aag se Bachaao Apne Aapko aur Biwi-Baccho ko Jahannum ki Aag se Bachaao ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Wo Logo Jo Emaan Laaye Ho! Bachaao Apne Aapko aur Apne Ahl-O-Ayaal ko Uss Aag se jiska Endhan Insan aur Patthar honge." 📕 Surah: At-Tahrim 66:6 ♥ In sha Allah Ul Azeez! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki Taufik de, Ameen
Gaali Galoch aur Jhagre se Bachne ka Islami Hukm |… Gaali galoch, badtameezi, aur jhagda karna aise gunah hain jo insaan ko Allah Ta'ala se door kar deta hain. Yeh na sirf duniyawi rishton ko tabah karte hain balke aakhirat ke liye bhi nuqsan deh hain. Yeh baat hamare Pyare Nabi ﷺ ki in aahadīs se saabit hoti hai: 1. Pehli Gaali Kis Par? ♂️ Mafhoom-e-Hadees:Hazrat Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasool'Allah ﷺ ne farmaya:“Do shakhs jab gaali-galoch kare to dono ka gunaah usi par hoga…
Baat Baat par Laanat aur Baddua Karne se Bacho ... Baat Baat par Laanat aur Baddua karne se Bacho Rasool'Allah(ﷺ) ne farmaya "Momin Naa tou Taana dene Wala Hota hai, Naa Lanat karne wala, Naa Fahash Bakne wala Behooda hota hai." 📕 Sunan Al Tirmizi; Hadees :1977 Sahih ۞ Hadees: Ek Shakhs ki Chaadar ko Hawa ke Tez Jhonke Lage tou Usne Hawa par Lanat ki. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Hawa Par Lanat Naa karo ki Wo Allah ki Taraf se Maamoor hai, aur Jo Shakhs Aisi Cheez Par…
Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah ... Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah Hadees: Anas Bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jis Daawat dene waale ne bhi Gumrahi ki Daawat di aur Uski Pairwi ki gayee tou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Gunaah milega aur Pairwi karne waalo ke Gunaah me koi kami nahi hogi. Aur Jis Daawat dene Waalo ne Hidayat ki taraf Bulaya phir uski Pairwi ki gayi tou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Ajar (Sawab) milega…
Diwaliya aur Muflis Kaun? | Gaali Galaoch aur Geebat… Diwaliya aur Muflis Kaun?Gaali Galaoch aur Geebat karne ka Azab Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne sahaba se farmaya 'Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ' Sahaba ne arz kiya ki "Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath…
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo ۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya "Mujhe Wasiyat Farmayiye"! *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta'ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain! Aisa Aadmi Amal Karke Allah…