Contents
Islamic Quiz 332
RasoolAllah (ﷺ) ne kiske liye ye kaha tha ki Main jannat mein unka Ghar ya Mahal dekha aur phir farmaya ki maine andar jana chaha magar unki Gairat ka khayal Aa gaya (isliye nahi gaya) ?
A. Abu Bakr (R.A)
B. Umar (R.A)
C. Uthman (R.A)
D. Ali (R.A)
Islamic Quiz 332 : RasoolAllah (ﷺ) ne kiske liye ye kaha tha ki Main jannat mein unka Ghar ya Mahal dekha aur phir farmaya ki maine andar jana chaha magar unki Gairat ka khayal Aa gaya (isliye nahi gaya) ?
Sahih jawab hai : Option ( B )
✅ Umar (R.A)
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hadees: Jabir (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Main jannat mein gaya aur wahan ek ghar ya mahal dekha mainey pucha ye kiska hai ?
unhoney (farishton ne) ne kaha ye Umar bin khattab (R.A) ka hai mainey andar jana chaha phir tumhari Gairat ka mujhe khayal aaya ye sunkar Hazrat Umar roye aur arz ki Ya RasoolAllah (ﷺ) kya main aapkey jane se gairat karta ?
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.