“Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ? halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they, Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke “Allah ki madad kab aayegi ?” (phir unhe tasalli di gayi ke) Haa! Allah ki Madad Karib hai.”
Sabse afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise Rishtedaar par kiya jaaye Hadees: Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 3427
7 (Saat) Aise Azkar Jinka Jawab "Allah Ta'ala" Khud Deta Hai ✦ Mahfum-e-Hadees: Anas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ek Aairabi Sahabi (Bedouin) RasoolAllah (ﷺ) ke paas aaya aur kahne laga "Ya RasoolAllah (ﷺ) Mujhe khair (wale Kalimat) seekha dijiye. RasoolAllah (ﷺ) ne uska Hath pakad kar farmaya kaho "Subhanallah Walhamdulillah Wala Ilaha Illallah Wallahu Akbar" Uss Aarabi ne in kalimat ko apni Ungliyoh par Geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta tou RasoolAllah (ﷺ) Muskurane lage aur Uss se farmaya "Tum kyu ek Naummeed shakhs ki tarha…
Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin Ki Rooh Jannat se Mehroom Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin ki Rooh Jannat se Mehroom Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 570 –Sahih
Jo Mushkil Waqt me bhi Allah Ki Raah me Kharch Karte Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch Karte ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch karte aur Apne Gusse ko roktey hai, Allah Ta'ala Unsey Mohabbat rakhta hai." 📕 Surah: Al-Imran; 3:134
Jannat Mein Le Janewale Aamaal by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=fuDiLe6YE4w Jannat Mein Le Janewale Aamaal What is jannah, Concept of Jannah in islam, levels of jannah, Jannah As Defined in Islam, How Is Heaven, All about jannah, paradise, garden of eden , jannat ka bayan, jannat ki naimat, pleasures of paradise in islam jannat mein jane ki dua
Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Nek Bando ke liye Jannat ki Nematen Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Taala farmata hai: "Maine Apne Nek Bandon ke Liye (Jannat mein) Woh Cheezein Tayyar kar Rakhi hain Jinhein kisi Aankh ne dekha na kisi Kaan ne Suna aur na kisi ke Gumaan mein Woh aayi hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 4779
Hadith: Qataa Rahmi (Rishte todne) wala Jannat me… Hadith: 27-March: Jubair bin Mut`im (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Qataa Rahmi karney wala (Yaani Rishtey todney wala) jannat me nahi jayega.” -Sahih Bukhari, Hadith: 5984 ✦ हिंदी हदिस: जुबैर बिन मुतिंम रज़ी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया “कता रहमी करनेवाला (यानी रिश्ते तोड़ने वाला) जन्नत में नहीं जायेगा” -सही बुखारी, हदीस 5984 ✦ Hadith: Narrated Jubair bin Mut`im: That he heard the Prophet (ﷺ) saying, "The…
Allah ki Jannat ki taraf daudo Apne Rab ki Jannat ki taraf daudo Allah Taala Quran me farmata hai: "Apne Rab ki Bakhshish aur Jannat ki taraf Daudo, Jiski Chaudaai Aasmano aur Zameen ke Barabar hai jo Parhezgaaro ke liye Muhayya ki gayi hai." 📕 Quran, Surah Aale Imran 3:133
Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Zinakari, Resham ka Pahenna, Sharab Pina aur Gaane bajane ko halal bana lenge..." - Sahih Bukhari: Hadees 5590 Related Post Sharab se bacho kyunki wo har burayi ki chabi hai Imaan aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakte इस्लाम में शराब पीने की क्यों मनाही है – Why Alcohol prohibited in Islam ? Sona (Gold) Aur Resham Mardo Par Haraam Jab bohot jyada Zina hone lagega tou
Jannat ke Baag kya hai : Hadees Hadees: Abu Huraira (R.A) riwayat karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab tum Jannat ke baago me se guzro tou phal khao." Logo ne arz kiya "Ya RasoolAllah ! Jannat ke baag kya hai? aur uss se kya muraad hai?" RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jannat ke baag Masajid hai aur phal 'SubhanAllah, Alhamdulillah, Allahu Akbar' ki tasbih hai.'" 📕 Mishkat Sharif, Hadees 674
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Us Din ka Darr Rakho Jabki Tum Allah ki Taraf Loutaye Jaoge "Aur Uss Din ka Khauf Rakho jabki Tum Allah ki aur Lautaye Jaoge, fir Har Shakhs ko jo kuch Usne kamaya Uska Pura Pura Badla dey Diya Jayega aur unke sath koi Nainsafi Na hogi" #Quran 2:281 "और उस दिन का डर रखो जबकि तुम अल्लाह की ओर लौटोगे, फिर प्रत्येक व्यक्ति को जो कुछ उसने कमाया पूरा-पूरा मिल जाएगा और उनके साथ कदापि कोई अन्याय न होगा" #कुरान: 2:281 "And fear the Day when ye shall be brought back…