Jab Banda Namaz me Surah Fatiha padhta hai

۞ Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim ۞

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) kehte hain maine RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko farmate hue suna, “Allah Ta’ala farmata hain: maine namaz apne aur apne bande ke darmyan aadhi-aadhi taqseem kardi hai , Lehaza mera banda jo sawal karega usey milega –

– Jab banda kehta hai ( Alhamdu-lillahi-Rabbil-Aalameen ) to Allah farmata hain mere Bande ne meri tareef ki.

– Jab banda kehta hai ( Arrahmaan- nirraheem ) to Allah farmata hain mere Bande ne meri Sana ki aur ek martaba yu farmata hai “Bande ne apne kaam mere supurd kar diye.”

– Aur jab Banda kehta hai ( Maalike – youmiddeen ) to Allah farmata hain “Mere Bande ne meri buzurgi bayan ki.”

– Jab banda kehta hai ( Eyyakana’ – budu- waiyyaka-nastay’een ) tou Allah farmata hain Ye mere aur mere Bande ke darmiyan Muamla hai aur mera banda jo mangega usey milega.

– Jab banda kehta hai ( Ehdenas-seratal-mustaqeem – seratal- lazeena-an’amta-a’laihim- gairil-magzubi-alaihim-walazzaleen ) tou Allah farmata hai “Uss Bande ki ye Dua bhi qubul hui aor uske alawa jis cheez ka Sawal karega (kuchh Aur Mangega) wo bhi usey de dunga.”

(Sahih Muslim, Kitab-us- salat, 878)

♥ SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hum sabko kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey… Ameen Allahumma Ameen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *