♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain.
*Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain.
*Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi girte hain aur Jis waqt wo haath dhota hai tou is ke dono’n hatho’n se Gunah nikal jate hain yaha’n tak ke dono’n Hatho’n ke Naqhuno’n ke neche se bhi nikal jaate hain.
*Phir jis waqt Masah karta hai tou is ke Sir se Gunah nikal jaate hain, yaha’n tak ke duno’n kano’n se bhi Gunah nikal jaate hain.
*Phir jis waqt pao’n Dhota hai to iske dono’n pao’n se gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke dono’n pao’n ke naqhuno’n ke neeche se bhi nikal jaate hain. Yaha’n tak ke wo sab gunaho’n se paak saaf ho kar nikalta hai.’
– (Muslim: al Tahaara 244)
Related Posts: