✦ Hadith about Hadiya/Tohfa:
1). Hadith: Hazrate Ibn Abbas aur Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Kisi Shakhs ke liye ye jayaz nahi ki woh kisi ko diya hua tohfa waapas le siwaaye Baap ke jo apne bete ko diya hua tohfa waapas le sakta hai.❞
– Sunan Ibn Majah Hadith no. 2377
2). Hadith: Ek riwayat me Aap (Sallallahu Aalihi Wasallam) farmate hai: ❝Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala uss kutte ki tarha hai jo qai (vomit) karke chaat keta hai.❞
– Sahih Muslim Book 012, Hadith 3957
✦ Tohfa dena kis ko Jayaz (allow) nahi ?
❝Aashiq wa Mashuq ka ek dusre ko tohfa dena (Zinaa ki) rishwat hai aur uska wapas karna wajib hai.❞