✦ Mahfum-e-Hadees:
Anas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ek Aairabi Sahabi (Bedouin) RasoolAllah (ﷺ) ke paas aaya aur kahne laga “Ya RasoolAllah (ﷺ) Mujhe khair (wale Kalimat) seekha dijiye.
RasoolAllah (ﷺ) ne uska Hath pakad kar farmaya kaho “Subhanallah Walhamdulillah Wala Ilaha Illallah Wallahu Akbar”
Uss Aarabi ne in kalimat ko apni Ungliyoh par Geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta tou RasoolAllah (ﷺ) Muskurane lage aur Uss se farmaya “Tum kyu ek Naummeed shakhs ki tarha fikr kar rahe ho ?”
Wo Sahabi Aap (ﷺ) ke Qareeb aaya aur kahne laga. “Ya RasoolAllah (ﷺ) Subhanallah Walhamdulilah Wa Lailaha Illallahu Wallahu Akbar, ye tou Allah Subhanahu ke liye hai (yaani uski tarif ke liye hain),.. Mere liye kya hai ?
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaye – Aye Aairabi!
(1) Jab Tum “Subhanallah” Kahoge tou Allah Subhanahu farmayega “Tumne Sach kaha”,
(2) Jab Tum “Alhamdulillah” Kahoge tou Allah Subhanahu farmayega “Tumne Sach kaha”,
(3) Jab Tum “La Ilaha Illallah” Kahoge tou Allah Subhanahu Farmayega “Tumne Sach kaha”,
(4) Jab Tum “Allahu Akbar” Kahoge tou Allah Subhanahu farmayega “Tumne Sach kaha”,
(5) Jab Tum “Allahummaghfirli” (Yaani Aye Allah Mujhe Bakhsh de) Kahoge tou Allah Subhanahu farmayega “Maine ye kar diya (Yaani Tumhe Baksh diya)”,
(6) Jab Tum “Allahummarhamni” (Yaani Aye Allah Mujh par Raham farma) Kahoge tou Allah Subhanahu farmayega “Maine ye kar diya (yaani Tum par Raham kar diya)”,
(7) Aur Jab Tum “Allahummarzuqni” (Yaani Aye Allah Mujhe Rizq Ata farma) Kahoge tou Allah Subhanahu Farmayega “Maine ye kar diya (Yaani Tumhe Rizq Ata kiya)”,
★ Aaraabi ne Apne Haath par Saat (7) ki Geenti Geeni phir wapas palat kar chala gaya.
♥ SubhanAllah! Allah Ta’alahume Kahne Sun’ne se jyada amal ki taufik dey,. ameen,..