Islamic Sawal Jawab Quiz 6

 

#1. Jab koi Musalman Cheenk kar Alahmdulillah kahe tou uske sath wale ne Uskey Jawab me kya kahe?

Hadees: Abu Hurerah (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

‘Jab Kisiko Chheenk Aaye tou “Alahmdulillah” Kahe
Aur Uske Jawab me Uska Bhai Ya Sath Wala Cheenkne Wale Ko “Ya-Reham’kallah” Kahe’
Tou Cheekne Wala Uske Jawab Me Ye Kahe – “Yah-Di-Kumullah-Wa-Yuslihu-Wa-L-Kum”

– Bukhari; Vol-2 Page-919

#2. In me se Kounsa Shakhs Ghamand se Paak hai?

Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai –

“Salaam me Pehal karne wala Ghamand se Paak hai.”

– Mishkat Sharif, Hadees-4434

#3. Allah ke Alaawa kisi aur ki Qasam Khana Kounsa Gunaah hai?

Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

“Jisne Allah ke Alawa kisi ki Qasam khai Usney Kufr kiya ya Shirk kiya.”

– Ahmad Hadees (2/34),
– Sahih Tirmizi Hadees (2/99)

#4. Inme se Kis ki Fitrat hai Gaali-Galoch karna?

Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya –

“Gaali-Galoch karne waale dono Shaitaan hain, woh Ek-Doosre par Ilzaam lagaate aur Jhoot boltey hain.”

– Musnad-e-Ahmad: 17483

#5. “Ek Daane ko Saat Baali Nikley aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou daane nikle” Yeh Misaal Allah ne Quran me kin Logon ke Talluk se bayan ki hai?

Allah Rabul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai –

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Unki Misaal jo apne Maal Allah ki Raah me kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali Nikley aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou daane nikle aur Allah Uss se bhi Zyada badhaaye Jiske liye chahe aur Allah wus’at wala Ilm wala hai.”

– Surah Baqrah 02:261




Previous
Finish

Results

Pre Quiz All Next Quiz