Zyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai Zyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya - "Zyada naa Hasaa karo, Iss liye ke Ziyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees 2305
Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Kisi Ko Burey Naam se na Pukaro ... Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ka Farman-e-Ibrat nishan hai, "Jis Ne Kisi Musalman ko Iss Ke Naam ke Ilawa Kisi Lafz Yaani Burey Naam se Pukara tou Uss Par Malaika (Farishte) Lanat bhejte hai." - (Geebat Ki Tabah Kariyan Page No 170) Dekhe: Zuban ki Halakatain by Aalim Adv Faiz Sayed https://www.youtube.com/watch?v=ctla25l3Xg4
Quran ke Nuzool ka Asal Maqsad aur Humara Haal Quran ke Sath Humara Sulooq Aaj ilm ki kami ki wajah se hum Qur'an ke Nuzool ke Asal maksad se mehroom reh gaye, aur sirf Sawab ke Lalach me Quraan ka istemaal karne lag gaye. Jaise missal ke tour per humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai aur padhte hue Surah Nisa ki aayat 3 aati hai jaha Allah Ta’ala fermata hai ke "Aye Musalman Mard Aadmi tum 2,3,4 biwiyo se nikah kar sakte ho.”…
Roze ka asal Maqsad Taqwa / Parhezgari hai Allah Rabbul Izzat ne Surah Baqraah ki Aayat 183 me farmaya aur kaha: “Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, Jaise tumse pichli Ummato par farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.” 📕 Surah Baqrah 2:183 Tou Taqwa Roze ka maksad hai, Taqwa Ramzan ka asal maksad hai, Taqwa Roze ka paigaam hai, Taqwa Ramzan ka paigaam hai. Aur Allah Rabbul Izzat ne baar-baar is paigaam ko dohraya aur kaha: “Aye wo logo jo imaan laye ho Taqwa (Parhezgaari)…
Gunah wo hai jo dil me khatke aur Sabse chupane ka dil kare Gunah wo hai jo dil me khatke aur Sabse chupane ka dil kare Nawwaas (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Gunaah wo hai jo Tere dil me khatke aur tujhe accha na lage ke logon ko us ki khabar ho" 📕 Muslim, Hadees 6680 Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Allah tou Hargiz Bando par kuch bhi Zulm nahi karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm kiya karte…
Kya Quran Padhe Tou Amal Karna Padta aur Na Padhe… – Quraan Se Doori Ki Ek Intehayi Ghatiya Wajah Yeh Bhi Hai Ke - "Quraan Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Naa Padhe Tou Bach Jatey,.." Subhan’allah!! # Agar Wakay Me “Quran Ko Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Na Padhey Tou Chal Jata” Iss Usool Ko Maan Ley Tou Hume Batayiye Sabse Pahle Jannat Ka Mustahik Koun ? ... - Jaahir Si Baat Hai Kaafir Hi Jannat Ke Mustahik Hotey ,.. Wo Tou Kehetey Ke – “Aye Allah Padhna…
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Mushrikane Makka ki Asal jo Kamjori thi, Asal Jo Unka Shirk tha Wo Tauhid Al-Ibada thi, Ibadat me wo Allah ke siwa Dusro ko bhi Shareek kiya karte they. Yahi Asal Shirk tha Unka Jiske Liye wo Qayamat tak ke liye Mushrikeen kehlaye. Hala ke wo bhi Allah ko Rab mantey they. Aur Allah Ta'ala ne Quraan ki chand Ayato me Inka Akeeda bayan kiya aur farmaya ke -…
Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Hadees: Muaz bin jabal (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Dunia mein jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou, Jannati hooron mein se uski Biwi kehti hai: "Allah tujhe barbaad kare! usey takleef na de. Ye tou tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh kar hamare paas pahunch jaye." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha, Hadees 2012📕 At-Tirmidhi; Book 1, Hadees 287
Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala Apne Raham Dil Bandon par hi Raham farmata hai” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 1284, 5655
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Agar Tum Mout ki Raftar ko Dekh Lete tou ... Agar Tum Mout ki Raftar ko Dekh Lete Hazrate Ali (R.A) ka Mashoor aur maruf qoul hai ke - "Agar Tum Mout Ki Raftar Ko Dekh Lete Tou Tum Zaroor Ummeedo Aur Umango Se Nafrat Karte. Aur Hargiz Inn Me Maghroor Na Hote.." 📕 Bujurgo ke Aqwaal