Ramadan ke Baad in 5 Chizou ko Kabhi Na Chorey Ramadan ke Baad kya kare ? Ramadan ke Baad in 5 Chizou ko Kabhi na Chorey Namaz 5 Waqt ki Namaz Allah Ta'ala ne Musalmano par Hamesha ke Liye Farz ki hai, Sirf Ramadan me nahi Lehaza Jo Ramadan me Humne 5 Waqt ki Namaz Padhi Usko Jaari Rakhe Uske Saath Nawafil ka bhi Ahtemaam kare. Nabi-e-Kareem ﷺ farmatey hai: "Beshak Aadmi aur Shirk wa Kufr ke Darmiyan Fark karne waali cheez Namaz hai." 📚 Sahih Muslim : Hadees No.246(82)…
Ek Saath Khana Khane Mein Barakat 📖 Roman Urdu Wahshi bin Harb (R.A.) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Ek saath khana khao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhare liye barqat hai.”(Abu Dawood, Hadith 3764) 📖 हदीस हिंदी वह्शी बिन हरब (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “एक साथ खाना खाओ और उस पर अल्लाह का नाम ले लिया करो, इसमें तुम्हारे लिए बरकत है।”(अबू दाऊद, हदीस 3764) 📖 Hadith English Wahshi bin Harb (R.A.)…
Ramadan Day 8 : Rozedar ko Iftar karane ki Fazilat… Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaih Wasallam) ne farmaya " Jo koi kisi Rozedaar ko iftar kara de tou uss ko Rozedaar ke Barabar Sawab Milega, aur Rozedaar ke sawab mein se koi kami nahi hogi ." [Sunan ibn e Maja, 1746]
♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza… Roza Chorne ka Azab Kin Logo ko Roza na rakhne ki chooth hai aur bewajah Roza chorne ka azab kitna khatarnak ho sakta hai? tafseeli jankari ke liye is audio clip ka mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫ Roze Chorne se Bacha Kare ♫ Saher…
Ramadan Day 19 | Rozedar ke samne jab khaana khaya Jaye ... Ramadan Quotes: 19 Ramzan ✦ Hadees: Umm ‘Umarah (R.A.) se riwayat hai ke: RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Rozedar ke samne jab khaana khaya Jaye aur wo sabr karen to Farishtein Uske liye Dua...
Ramadan Day 21 | Shab e Qadr ko kab Talash Kare... Ramadan Day 21 ۞ Hadees: Hazrate Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Shab-e-Qadr Ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato (21, 23, 25, 27, 29) me Talaash karo...
Ramadan Day 5 : Ramzan me Jannat ke Darwaze khol diye jatey 05th Ramzan Hadith : ❝ Ramzan ke Mahine me Jannat ke Darwaze khol diye jatey hai, Jahannum ke darwaze band kar diye jatey hai aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai.❞📕 Ṣahih al-Bukhari 1800
Ramadan Day 22 | Shab e Qadr ki Dua Ramadan Day 22 ۞ Shab e Qadr ki Dua : Allahumma Innaka ‘Afuwwuntuhibbul ‘Afwa Fa’fu ‘Anni.'(Aye Allah tu muaf karne wala aur muaf karne ko pasand karta hai so mere bhi gunaah muaf farma de.)' ...
Ramadan Day 7 : Ramzan me Umrah karne ki Fazilat 07th Ramzan ۞ Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke:❝ Ramzan me Umrah karna RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ke sath Hajj karne ke barabar hai. ❞📚 Sahih Bukhari 1863
Ramadan Day 10 | Iftar ke Waqt Rozedar ki Dua Radd Nahi hoti Ramadan Day 10 ✦ Hadees: Abdullah Bin Amr Bin Aas (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya -"Iftar ke waqt Rozedar ki Dua Radd nahi hoti." [Sunan Ibn Majah, 1753-Hasan]
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Valentine's Day ! Musalman Nahi Manate Kyunki ... Khabardar Zina ke Qareeb bhi na Phatakna Allah Ta'ala ne Farmaya: "khabardaar! Zina ke Qareeb bhi na Phatakna Kyunki Woh Badi Behayaai hai aur Bahot hi Buri Raah hai." 📕 Quran, 17:32 Hadees of the Day Allah ke Rasool ne farmaya: "Tumhare Liye kisi Ghair Mahram ko Chhoone se Behtar hai ki Tum Apne sar Mein Lohe ki Keel thok lo." 📕 Sahih Al-Jaami: 5054 Allah Taala Hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de,Hume Tamam kism ke…
Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye 01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183
Ramadan Day 29 | Sadqa-e-Fitr Eid ki Namaz se pehle… Ramadan Hadees: Day 29 Sadqa-e-Fitr Eid ki Namaz se pehle Nikalne ka Hukm ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki: "Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Sadqa-e-Fitr Eid ki Namaz ke liyejaane se pehle pehle Nikalne ka Hukm diya." 📕 Sahih al-Bukhari 1509
Maal bechte waqt Kasam khane ke nuksan Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo, ki ye Agarchey Maal ko tou Bikwa deti hai, magar Barkat ko khatm kar deti hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 2087 Note: Aksar dekha jata hai ke log koi saman bechte wakt qasam khate hai ke Allah ki qasam maal original quality ka hai, Allah ki qasam humne ye…