♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai ,
Mujhe Jibrayeel (Alahi Salam) ne Jannat me ek bada Mahal dikhaya, jab mai usme dakhil hone laga tou mere sath meri ummat ke 70 hazar log dakhil ho gaye jo bagair hisab kitab ke jannat me jayenge ,.
Sahaba ne pucha “ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! wo koun log they ? ,..”
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “ye mere Ummat ke wo log they jo Acche aur burey wakt me Allah ki Zaat par Tawakkul rakhte aur kehte ke jo kuch hai Allah ki taraf se hota hai, Hum Allah ke Shakir (Shukr Gujar) Hai,..”
– Sahih Bukhari , Vol 7, Hadees no 5705
*Gour Karnewali baat hai mere Azeezo! Allah se mayusi hume tamam kism ke fitno me mulawwis karti hai, jabki Allah par Tawakull rakhne wale Dunia aur Aakhirat me hakiki kamiyab hone wale hai ,..
*is Aahadees me unn hazrat ke liye Nashist hai jo apni duniya wi choti badi jarurato ko puri karne Allah ke Alawa gair se Mannate-Murad karte hai, Halanke wo inke Nafa aur Nuksan ka kuch bhi ikhtiyar nahi rakhte ,..
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Hum Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..
# Hume Deen Ka Sahi Ilm Hasil Karne Aiur Uspey Amal Ki Taufeeq Dey ,…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey …
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!