Waswaso ka ilaj, Shaitan ke waswaso se, Bure khayalat se Bachne ki Dua, “Auzu billahi minash shaitan rajeem” ki Ahmiyat aur Fazilat

Waswaso ka ilaj
“Auzubillahi Minash Shaitan ir Rajeem”
Tarjuma: Allah ki Panah Mangta hu Mai Shaitan Mardud ke Sharr se,.
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aur agar aapko shaitaan ki taraf se koi waswase aane lage tou Allah ki panaah maang liya karo, bila-shuba woh khoob sun ne waala aur khoob jaan’ne waala hai, Beshak jo Allah se darte hai. jab unko shaitaan ki taraf se koi khatra hota hai, woh Allah ki yaad me lag jaate hai, so yakaayak unki aankhen khul jaati hai, aur jo shaitaan ke ta’bey hai woh unko gumraahi me kheenche chale jaate hai, pas woh baaz nahi aate.”
Shaitaani Waswaso ka ilaj
RasoolAllah (ﷺ) ki Aahadees ka Mafhoom hai ke:
“Jisko shaitani wasaawis aatey hai wo Aayatul khursi tilawat kar ley.”
Ek aur riwayat me Aap (ﷺ) farmatey hai –
“Mauzatain (Surah Falaq, Surah Naas) padhkar apne Nafs par dam karo ! Iss se shaitan se hifazat hoti hai.”
Waswasa kya hai?
Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke,
kuch sahaba RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir huey aur Aap se puchne lage ke hum apne dilo me aise khayal (waswase) mehsoos karte hai ke inhe bayan karna bahut bada gunaah maloom hota hai,
Aap (ﷺ) farmaya ke ‘kya tum ne ye baat payi hai? ‘
Arz kiya ‘Haan !’
Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ‘Ye khula hua emaan hai.’
📕 Muslim, Miratul Manaji jild 1, safa 87, Waswasao (burey khayalaat) ka Baab)
Wajahat:
1. Ye Sahaba Kiram ke kamal-e-emaan ki daleel hai ke waswasao per amal karna tou kya isey zubaan per laate bhi ghabrate hai.
2. Waswase ko badaa bura samajhna.
3. Yaani waswase aana kamal-e-emaan ki daleel hai kyunke chor bhare ghar me hee hamla karta hai aur shaitaan momin ke emaan par hamla karne ke firaaq me hee zyada laga rehta hai.
Allah Taala humare emaan ki salamti ata farmaye.
Related post
- Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein
- Musalmano ke Gharo me Sabse Accha aur Bura Ghar
- Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak amal na kiya jaye
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.