♥ Mafhoom-e-Hadees: Umar Bin Al-Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai Aur Har Shaksh Ko Wohi Milta Hai Jiski Wo Niyat Karey
– Isliye Jiski Hijrat (Emigration) Allah Aur Uskey Rasool Ki Raza Hasil Karney Ke Liye Ho
*Tou Usko Allah Aur Uskey Rasool Ki Raza Hasil Hogi
– Lekin Jiski Hijrat Duniya Hassil Karney Ke Liye Ho Ya Kisi Aurat Se Shaadi Karney Ke Iradey Se Ho
*Tou Uski Hijrat Uskey Liye Hai Jiskey Liye Usney Hijrat Ki.
– (Sahih Bukhari, Hadith no.5070)
Related Posts:
Apne Amaal Ko Ikhlas Ke Sath Riyaa Se Paak Rakhey .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Ek Shaheed Allah Ke Saamne Qayamat Ke Din Laaya Jayega!!! Allah Usey Puchega Ke: "Tuney Kya Amal Kiya ? " - Woh Kahega Ke Mai Tere Raah Me Ladh Kar Shaheed Hua, Allah Farmayega: "Tu Jhoota Hai!!! Balke Tu Iss Liye Ladha Ke Tujhe Bhahadoor Kaha Jaye, Yaani Teri Niyat Duniya Me Poori Ho Gayi Ab Mujh Se Kya Chahata Hai Phir Mooh Ke Bal Ghasit Kar Aag Me Fenk Diya Jayega, *Issi Tarah Ek Aalim Jisney Ilm Ko Charcha Ki Niyat Se…
Tahajjud Ki Niyyat Ka Sawaab .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farman Hai Ke - "Jo Shakhs Raat Ko Sotey Waqt Tahajjud Ki Niyat Karle Lakin Woh Bedaar Na Ho Saka Tou Usey Uss Amal Ka Sawaab Mil Jata Hai Jis Ki Usne Niyat Ki Aur Woh Neend Uss Par Uss Ke Rab Ki Taraf Se Sadqa Hai". - (Sunan Nisai, Qiyam Al Lalayl, Baab Min Ati Farashta)
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Mas'ud Al-Ansari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (ﷺ) Ne Farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." - (Sahih Bukhari, 5351) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू मसूद अल अंसारी (रजी अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया - "जब मुसलमान अपने घरवालो पर अल्लाह का हुक्म अदा करने की नियत से खर्च करे तो उसमे भी उसे सदके का सवाब मिलता है" - (सहीह बुखारी, 5351) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Jo Shakhs Isha Ki Namaz Jamaat Ke Saath .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Usmaan (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jo Shakhs Isha Ki Namaz Jamaat Ke Saath Ada Karey (Usey Itna Sawaab Hai) Goya Uss Ne Aadhi Raat Tak Namaz Parhi, Aur Phir Subah Ki Namaz Jamaat Ke Saath Parhe Tou Itna Sawaab Paya Goya Poori Raat Namaaz Parhi.." - (Muslim Shareef, Kitaabul Masjid 656) ♥ In'sha'Allah-ul-Azeez!!! *Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Dey .. Aameen!!!
Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai ke - “Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai”. – (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434) *Hiqmat: Yaad Rakhiye Ek Ghamandi Insan Hi Dusro Ko Apne Se Kamtar Samjhta Hai ,.. Isiliye Wo Logon Se Dua Salam Karne ke Bajaye Ummid Karta Hai Ke Log Uss Se Dua Salam Me Pehal Kare ,.. *Aur Afsos Ki Baat Hai ! Aaj Musalmano Me Chand Fikri Ikhtelaf Ki Buniyad Par Dua Salam Na Karne Ki Talim Di Jaati Hai ,.. Goya Ummat Me Intehar Failaya Jaa Raha Hai ,... Ke Salam Mat…
Dour-e-Jahalat Ke Nek Amal Ka Bhi Badla Milega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha: *Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ? Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,.. Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon Par Bhi Mujhe Sawaab Milega? Ye Sunkar Aapne Farmaya: "Tum Unn Tamaam Nekiyon Aur Bhalaiyon Ke Saath Imaan Laye Ho,…
Dunia me 4 Qisam ke Logo ki Niyato ka badla ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Kabshah Anmaari (RaziAllahu Anhu) se kehte hai ke, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Mai tum se ek Hadees bayan karta hoon usey yaad rakhna" 1). Sadqa karne se kisi ke maal me kami waqai nahi hoti", 2). Jis kisi par Zulm hua ho aur woh Sabr kare tou Allah uski Izzat me Izafa farmata hai", 3). Jo Shakhs (logon se) mangna shuru kar de tou Allah uss par Fikr aur tangi ka darwaza khol deta hai (aur woh har qisam ke Maal-o-Doulat hone ke bawajood mangta phirta hai)" Phir farmaya "Ek aur baat bayan karta…
Dahiney Qadam Par Ek Neki Zyada Aur .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Shakhs Masjid Se Jitna Door Hota Hai Wo Utna Hi Ziyada Sawaab Hasil Karta Hai (Kyunki Namaz Ke Liye Janey Par Dahiney Qadam Par Ek Neki Ziyada Aur Bahiney Qadam Par Ek Gunaah Kum Ho Jata Hai).." - (Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadith no.554) # Sabaq: Beharhaal is Hadees ko Koi Galat Mane Me na ley ,.. Balki Iska Sahi mana ye hai ke jo Masjid Tak Pohochne me jitni jyada mashakkat karega Allah use Utna hi Jyada Sawab ata karega…
Sabr Ka Badla .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki: Allah Ta'ala Farmata Hai: "Mere Uss Momin Bandey Ka Jiska Main Koi Aziz Duniya Se Utha Lu Aur Wo Uss Par Sawaab Ki Niyat Se Sabr Kar Le Tou Uska Badla Mere Yahan Jannat Ke Siwa Aur Kuch Nahi.." - (Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith no.6424) ♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ,..
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
۞ Hadees: Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir… ۞ Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
Allah ki Raah me Kharch Karne ki Fazilat Hadees of the Day ✦ Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya ki, Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai "Aye Aadam ke Betey! Kharch kar ki Mai bhi Tujh par kharch Karunga" aur Rasool'Aallah (ﷺ) ne farmaya "Allah ka Haath (Dast-e-Qudrat) bharaa hua hai (Raah-e-Haq Par) Raat Din Kharch karney se kuch kum nahi hota." 📕 Sahih Muslim, Vol 3, Hadees no. 2308 ✦ Apney Gharwalon Par Kharch Kare Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Behtar Dinar (Ya Rupya) Jisko Aadmi Kharch Karta hai wo hai Jisey Wo Apney Gharwalon par kharch Kare aur…
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar… Hadith: 26-June: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai.. 📕 Musnade Ahmed 17155
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Gham Ke Kunwao (Well) Se Allah Ki Panaah Mango .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Riwayat Hai Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Farmate Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Gham Ke Kunwao (Well) Se Allah Ki Panaah Mango", Logo Ne Arz Kiya, "Ya Rasool’Allah! Gham Ka Kunwa Kya Hai ? " *Aapne Farmaya - "Dozaq Me Ek Jungle Hai Jis Se Khud Dozakh Rozana 400 Baar Panaah Mangti Hai", Arz Kiya, "Ya Rasool’Allah! Iss Me Koun Jayenga?" *Aapne Farmaya - "Apne Aamaal Me Dikhlawa Karne Wale Qaari". Iseh Tirmizi Ne Riwayat Kiya Yu Hi, Ibn-e-Maja Ne Iss Me Ye Zyadah Hai Ke Allah Ko Bahut Na’pasand Wo Qaari Hai…