Contents
Neend se Jagne ki Dua
✦ RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) jab Neend se jagte tou ye kahte
الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
( Al-Hamdu lillahi Al-lazi Ahyana bada ma amatana, wa ilaihin-nushur. )
ALLAH ke liye hi tamam taarifien hain jisne humein maut dekar phir se zinda kiya, aur usi ki taraf laut kar jana hai.
Sone ki Dua
Aur jab RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) apne bistar par let-te to
apna haath apne rukhsar ke neeche rakhte aur farmate
اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
(Allahumma Bismika Amutu wa Aahya)
Ya ALLAH, tere hi naam ke saath main mrta hun aur zinda rahta hu
📕 Sahih Bukhari, Jild 7, 6312
Beshak har hadees sach hai