Surah Ikhlas Tihaai Quraan Ke Barabar Hai ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Kya Tum Me Se Koi Aadmi Raat Ke Waqt Tihaai Quraan Nahi Padh Sakta?
*Sahaba Ne Pucha – “Ya Rasool’Allah ! Tihaai Quraan Kaise Padha Jaaye?”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Surah Ikhlas Tihayi (yani 100% me se 33.33%) Quraan Ke Barabar Hai”.
(Muslim Sharif)

# Wajahat: Bhala Sirf Ek Surah 1/3rd Quran Ke Barabar, Ye Kaise?
Mazmoon = Tawheed – Tawheed Hi Sab Se Bari Cheez Hai!
Poorey Quraan Ko Dekhein Tou Uss Me Se Asool-e-Salasa Jin Ka Qabar Me Bhi Hisaab Hona Hai,
*1.Mann Rabooka? *2.Mann Rasooluka? *3.Maa Deenookaa?
(1.Tumhara Rabb Koun ?, 2.Tumhara Rasool Koun?, 3.Tumhara Deen Kya Hai?)
– Tou Unn 3 Me Se 1 Sawaal Tawheed Pe Hai!!
*Allah Qaadir Hai – Wo Chahe Tou Ek Surah Pe 10 Paroan Ka Ajar De De …

3.7/5 - (16 votes)

Leave a Reply

Related Posts: