Allah Rabbul Izzat Quraan me Ek Jagah Farmata Hai Ke:
“Nabi Jo Dey Usey Lelo aur Nabi Jis’se Rokey Uss se Rook Jao”
Surah Hashr 59:7
Tou Yaha Baat Wajeh Hui Ke RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Ke Bagair Ab Koi bhi Amal Allah ke Nazdik Kaabile Kabool Na Hoga Yaad Rakhiye,
*Chahey Tawheed Par Chaley Lekin Rasool Ki Ita’at Na Ho,
*Chahey Namaz Padhey Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,
*Chahey Roza Rakhe Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,
*Chahey Zakaat Dey Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,
*Chahey Din Bhar ka Koi Muamla ho, Tijarat Kare, Akhlaq ho Ya Aadab ho Agar Rasool ka Tareeka nahi hai Tou Yaad Rakhiye Wo Amal Kaabile Kabool Nahi Allah ke Paas.
Tou Yaha Allah Rabbul Izzat Ne RasoolAllah (ﷺ) Ki Ita’at Humpar Wajib Aur Farz Ki Gayi Hai Aur Sahaba Ne Bhi Aisa Hi Samjha Iss Baat Ko.
Lekin Kitne Baar Aisa Hota Hai Ke –
Hum Apne Aaba-O-Ajadaad Ke Tareeko Par Amal Ke Liye RasoolAllah Ki Sunnat Ki Mukhalifat Karne Lag Jatey hai phir Chahey Koi Sahi Kitabo Sunnat Se Humari Islah Karne Lag Jaye Fir Bhi Hum Unki Baat Nahi Sun’na Chahtey.
– Yeh Hai Huamara Haal Aaj.. Aur Aesi Gustakhi Karne Ke Baad Bhi Hum Apne-Aap Ko Ahle Imaan Aur Ahle Sunnat Wal Jamat Me Tasawwur Karne Lag Jaatey Hai .. (SubhanAllah!!!)
Aur Kuch Logon Ka Tou Muamla Ye Hai Ke Rab Par aur Uskey Din Par Ilzam Lagatey Hai…
– Yeh Aqwal Aapne Suney Honge Chotey Aur Badon Se ,.. Baaz Paid Ulemao Se ,..
»1). Pahla Aqwal: “Ke Janaab Aap Sunnat Ki Baat Karte Hai! Agar Puri Sunnat RasoolAllah Ki Tumhare Paas Aajaati Tou Tumhara Chalna-Firna, Uthna-Baithna, Khana-Peena Mushkil Ho Jata ,..
*Jabki Sawaal Tou Yeh Hai ke Rab Farmata hai ke:
☼ Nabi Jo Dey Usey Lelo Aur Nabi Jis’se Rokey Uss se Rook Jao” [Al-Quran 59:7] Aur
☼ Aye Musalmano ! Allah Ke Rasool (ﷺ) Tumhare Liye Behtareen Namuna (Ideal Aur Role Model) Hai” [Al-Quran 33:21]
Lekin Hum Tou Kehtey Hai Ke Ye Ideal Tou Hum Tak Pohcha Hi Nahi ,,.. Subhan’Allah !!! ..
Tou Goya Islam Par, Shariyat Par, Rab Ke Deen Par Hum Ilzam Lagatey Hai Ke Ye Deen Mukammil Nahi Hai, Aur Pura Hum Tak Pohcha Nahi.
Jara Soch Lo Bolney Se Pahle! Kisi Giroh ke Khilaf, Kuch Logon ke Khilaf Jinko Hum Apna Mukhalif Samjhtey Hai Unko Rokney Ke Chakkar me Ye Baatey Muuh Se Hum Keh Baithety Hai aur Samjhtey Bhi Nahi Ke Iska Asar Kaha Tak Hota Hai Ja Kar.
»2). Dusra Aqwal: Yeh Ke: Ye Islam Bohot Mushkil Deen hai, Tabhi tou Kaha Jata hai ke Pura Aajata tou Bohot Mushkil ho Jata, tou Hum Kahte hai ke Chalo Accha hi hai Jo nahi aaya pura aur Jo Baaki Hai Wo Bhi Na Padho! Kyunki Padhogey tou fir Amal Karna Padhega … (Subhan’Allah !!!)
– Yaad Rakhiye Ye Sab Dhakosley hai,.. Fitne Hai! Sirf Hume Haq Se Gaafil Rakhney Ke Liye,.. Kitabo Sunnat Se Hume Door Karne Ke Liye Baaz Logon Ne Iss Tarha Ki Aqwale Gadhi Hai Iss Ummat Me ,.. Taaki Wo Deen Ke Naam Par Apni Dukaney Chalaye.
– Lekin Alahmdulillah!! Allah Rabbul Izzat Inki Poley Khol Raha Hai Din-Ba-Din.
Lihaja Allah Ke Liye Hume Bhi Chahiye Ke Jab Koi Kitaabo Sunnat Ki Baat Karey Tau Bagour Suney aur Samjhe.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Ta’ala Humey Haq Kehne, Sun’ne, Samjhne Aur Uspar Amal Ki Taufiq De ,.. Ameen Allahumma Ameen !!!
To be Continued …
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.