۞ Mafhoom-e-Hadees ۞
RasoolAllah (ﷺ) ne ek roz farmaya ke “Mere Jaanshino par Allah ki Rehmat ho!”
Arz Kiya Gaya: “Ya Rasool’Allah! Aapke Jaanashin Koun Hain?”
Farmaya: “Jo Meri Sunnat se Mohobbat Rakhte Hain aur Usey Allah ke Bando ko Sikhate hai.”
[Tafsir-e-Kabir]
Afsos Ki Baat Hai Ke: Aaj Humne Khud RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Ko Samjhne Se Airaz Kiya aur Badley me Jo Bhi Wirasat Se Hume Akide Miley Bus Uspar Aankh Bandh Karke Amal Karne Lag Gaye.
Phir Chahe Wo Amal RasoolAllah Ki Sunnat Ke Kitne Hi Khilaf Kyu Na Ho Uski Tehkik Karna Jaruri Nahi Samjha Aur Humne Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Kar Li.
Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ?
Aaj Jab Sunnat Ki Baat Hoti Hai .. Sunnat Par Amal Ke Liye Bulaya Jata Hai Tou Pahle Tou Sunnate Manmani Ijad Ki Gayi.. Aur Agar Koi Sawaal Kare Ke Bhai Ye Kaha Se Laye Ho ?
Tou Kahte Hai Ke “Tum Tou Mereko Bhatke Hue Dikh Rahe!!!”
Kyunki Ke Tumne Sawal Kiya,.. Aur Humne Tou Apne Baap-Dada Se Sawaal Nahi Kiya Aajtak. (Subhan’Allah)!!
*Tou Jo Logo Ko Deen Ke Mu’amlo Me Sawal Karne Se Rokte Hai
– Unsey Mai Puchna Chahunga Ke: “Kya Aisi Masumiyat Humne Duniya Me Bhi Ikhteyar Ki ?”
*Jab Duniya Me Aqal Lada Rahe Hai Hum,
– Pata Hai Ke Ladki Acchi Na Ho Aur Mujhe Pakda Di Jaye Tou Mai Fass Jaunga Zindagi Bhar!
*Tou Fir Ye Kyu Nahi Sochtey Hum Ke:
“Sunnat-e-Rasool Se Hatkar Jis Kisi Bhi Akide Par Mai Rahunga,
Tou Mai Qayamat Ke Deen Kya Jawaab Dunga Apne Rab Ko ?”
*Tou Yaha Jawabdehi Ka Madda Hai,.. Waha Ki Jawabdehi Bhul Gaye Hum?
– Isliye Ke Yaha Cash Dikh Raha Hai ,.. Aur Wo Tou Udhar Ka Muamla Hai Na ,..
– Qayamat Dikhi Nahi Hai Abhi.. Aur Aakhirat Aayi Nahi ,..
*Lekin Yaad Rakhiye Yeh Bohot Jyada Nazdik Hai Humse,.. Kab Mout Aajayegi Hume Pata Nahi ,..
*Pata Nahi Pichley Ramzan Kitne Log Humare Contact Me They,
Aaj Nahi Hai Aur Agle Ramzan Tak Ho Sakta Hai Bohot Se Hum’me Se Naa Ho ,..
*Tou Iss Se Pahle Ke Koi Bhi Kaam Karu Duniya Me Jo Tehkik Ka Madda Hai Deen Me Bhi Usko Istemaal Karu,
Jaanchu Aur Parkhu ,.. Kahi Aisa Tou Nahi Ke Mai Khamoshi Se Aankh Band Kar Kisi Ke Pichey Lag Gaya Aur Usney Le Jakar Gaddhe Me Mujhe Gira Diya …
*Tou Duniya Me Jaisi Tehkik Karte Hai Waisi Tehkik Deen Me Bhi Kijiye ,..
Ab Hum Yeh Nahi Keh Rahe: Ke Har Ek Ko Bohot Bada Allama Ban’ne Ki Jarurat Hai !
Lekin Aap Choti-Moti Baatey Tou Jaan Sakte Hai ,.. Jo Kum Se Kum Faraiz Se Tou Muttalik Ho ,.
#Misaal Ke Tour Par:
Aajka Mu’amla Tou Yeh Hai Ke, Agar Koi Shakhs Kahe Ke – “Safbandi Ke Aadab Yeh Hai, Safey Aisi Ho”
Jabki Ulemao Ki Baatey Hazaar Baar Sunn Rahe Hai Hum, Safbandi Ke Aadab Bataye Ja Rahe Hai ,
“Ke Saff Aisi Ho, Saffo Me Jagah Na Ho ,.. Kaandhe Se Kaandha Lagey, Kadam Se Kadam Milakar Rakho,.. Shaitan Ko Bich Me Aane Na Do, Sino Ko Bahar Na Nikalo!!!”
RasoolAllah (ﷺ) Ke Talluk Se Riwayato me Aata Hai Ke RasoolAllah Neza Letey aur Saffo Ko Durust Karte Imamat Se Pahle, Fir Ja Kar Khadey Hotey aur Farmatey Ke: “Saffo Ko Durust Karna Namaz Ke Qayam Karne Me Hai”
Lekin Agar Aaj Koi Boley ke Saffo Ko Durust Karo!
– Fouran Usey Logon Se Jawab Milta Hai: “Tum Tou Falah Jamat Se Lag Rahe Hume!!!” (Subhan’Allah)
– Jab Ki Yeh Tou Sunnat Hai RasoolAllah (ﷺ) Ki,
Kyu Humne Sunnato Ko bhi Baat Diya Alag-Alag Aitbar Se?
– Jamati, Ilaqayi, Rangat Ke Aur Mulko Ke Aitbaar Se?
– Ye Humari Aaj Halat Ho Gayi Sunnat Ke Muamlo Me,..
*Lihaja Allah Ke Liye! Baat ko Samjhey, Halaat Ko Samjhey aur Jitna Ho Sakey RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnato Par Khud Bhi Amal Karey aur Logon ko bhi Uski Dawat dey.
♥ In’sha’Allah-ul-Azeez!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey !!!
To be Continued …