Abdullah bin umro (R.A) se riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Ta’ala us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr-guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti.”
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne… Halala ka Nikah karne wale ka GunaahHalala karne wale par Allah ki Lanat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana…
Bheek Mangna Hadees ki roshni mein anjaam Bewajah logo se Bheek Mangna Hadees ki roshni mein jaaney. Hadees: Hazrate Abdullah ibn Masud (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "jo shakhs maaldar honey ki halat me bhi sawaal kare (maange) tou wo Qayamat ke din iss tarah aayega ki uska mooh kharocha hua ya kata ya phata hoga." Sahaba ne pucha "insan kitne maal se maaldar kehlata hai?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya "50 dirham ya uski qeemat ka sona (rakhne wala)." 📕 Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadees 1613-Sahih…
Biwi ke Huqooq Qurano Sunnat ki Roshni me Biwi ke Huqooq ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Biwiyo ke saath Acchi tarah raho saho. 📕 Al Quran; Surah Nisa 4:19 ❝ Aurto ka Haq Mardo par waisa hee hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai, Al batta mardo ko unn par fazeelat hasil hai. 📕 Al Quran; Surah Baqrah 2:228 Isi Tarha Allah ke Rasool (ﷺ) ki Aahadees me Aata hai ke: ❝ Aurato se behtar Sulook karo…
Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Bure Padosi, Buri Biwi aur Bure Bachcho se bachne ki Dua ✦ Hadith : Allah ki Panah talab karne ki Dua ✦Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ye Dua farmaya karte theyاللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ جَارِ السُّوءِ ، وَمِنْ زَوْجٍ تُشَيِّبُنِي قَبْلَ الْمَشِيبِ ، وَمِنْ وَلَدٍ يَكُونُ عَلَيَّ رِبًا" Allaahumma innee Awuzubika Min Jaar As-Soo Wa min zawjin Tushayyebuni Qabal-Al-Masheeb Wa min waladin Yakunu Alayya Ribba "(Ya Allah main teri panah maangta hu bure padosi se, aur aisee biwi se jo budhape se pahle mujhe…
Shohar par Biwi ke Huqooq (Rights of a Muslim Wife… Shohar par Biwi ke Huqooq Ek Hi Biwi hai Magar Mard Uske Paas nahi rehta, balki Namaz wa Roze me Mashgul Rehta hai tou Aurat Shohar par Mutalbah kar sakti hai. aur Usey (Mard Ko) Hukm diya Jayega ki Aurat ke Paas bhi raha kare ki Hadees me farmaya Gaya hai ki: “Tumhari Biwi ka Tum par Haq hai.” 📕 Mafhoom-e-Hadees (ﷺ)📕 Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Nikah,Hadees 5199 Roz Marrah ki Shab-Bedari aur Roze Rakhne me Uska haq talaf hota hai, Raha…
Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Hadees of the Day Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Umme Salma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:- "Jo Aurat Dunia se is haal me chali jaye ke uska Shohar us se raazi tha, tou wo Jannat me dakhil hogi." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1854
Manzil par utarne aur nuqsan pahuchane wali… ✦ Manzil par Utarne aur Nuqsan pahuchane wali Makhluqat se bachne ki Dua 1). RasoolAllah(ﷺ) ne farmaya: Jo Shakhs Sham ko 3 martaba ye Dua padhega to usko us Raat koi bhi Zahreeli cheez nuqsan nahi pahuchayegi 〘 أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ 〙 ❝ Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq.❞ Panah mangta hu main Allah ki, Purey kalimat ke jariye, har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai. (Jamia Tirimizi, Jild 2, 1528-Sahih ummat-e-nabi.com/home) Note: Aksar…
Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur… Hadees of the Day Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur khud bhi Gusal kare Aws bin Aws (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Juma ke din (Apni Biwi) ko gusal karwaye aur khud bhi gusal kare phir namaz ke liye jaldi jaye, paidal jaye aur sawar hokar na jaye aur imam ke nazdeek hokar khutba suney aur behuda baat na kare to uske har qadam par usko ek saal ke…
Tanhaai me Gunah Karne Walon ka Qayamat ke Din Anjaam 👉 Tanhaai Me Gunah Karne Walon Ka Qayamat ke Din Anjaam ye hoga ki Allah unke Amal ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega. Hadeese Nabwi ﷺ Sawban (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi ﷺ ne farmaya : "Main apni ummat me se aise logon ko janta hun jo Qayamat ke din tahamah ke pahadon ke barabar nekiyan lekar aayenge, Allah Ta'ala unko Fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega." Sawban (R.A.) ne arz kiya…
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jhoothi Qasam ke Jarye apne samaan ki maang badhaane wale se qayamat ke din Allah Taala na baat karega aur na uski taraf Rehmat ki Nazar se dekhega." 📕 Sahih Muslim, Hadees 106
Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Hazrte Abu Huraira (R.A) se Mairvi hai ki,Rasool'Allah (ﷺ) ka farman hai - “Allah Ta'ala ke kuch Sayyah (Yaani Sair Karne Wale) Farishte hai, Jab Woh Mehafil-e-Zikr (Allah ka Zikr/Ibadat karne walo) ke Paas se Gujarte hai touEk Dusre se kahte hai: (Yahan) Baitho. Jab Zakirinn (Zikr Karnewale) Dua Mangte hai tou Farishte Unki Dua par 'Aameen' Kehte hai. Jab Woh Nabi (ﷺ) par Durood bhejte hai tou Woh Farishte bhi Unke Sath…
Jis Bande ko Nek Biwi Mil Jaye ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ne Jise Nek Bibi Ata Ki, Usey Islam Ka Aadha Hissa Qayem Karne Me Madad Ki Hai, Baaki Aadhe Hisse Ke Liye Use Chahiye Ke Wo Allah Se Dare (Yaani Taqwa/Parhezgari Ikhtiyar Karey),.." - Mustadraq Al Haqim , Hadees 2681 - Tabrani Awsat , Hadees 985 - Baihaqi Shu'abul Imaan , Haddes 5101 - Mazma'ul Zawayed , Hadees 7434…