✦ Mafhum-e-Hadees: Abdullah bin Zubair (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne Muadh (RaziAllahu Anhu) ke wahan Roza Iftar kiya tou (Unko ye) Dua di ❝Aftara Indakumus-Saimun, Wa Akala Taamakumul-Abrar, Wa Sallat Alaikumul- Malaikah ❞〘Rozedar tumharey yahan iftar karey, nek log tumhara khana khaye aur farishtey tumharey liye dua karey〙
Ramadan Day 20 | Roza Allah ke liye hai aur Allah hi… Ramadan Day 20 ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga...
♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? Roza na rakhne ki kisko Chut hai? Ramzan me roza koun log nahi rakh sakte?, Kin Logo ko Ramzan ke Roze Muaf hai, Tafseeli jaankari ke liye is Audio Bayan ka mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai ? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫ Roze Chorne…
Sone ki Dua | Neend se Jagne ki Dua Raat ko Sone ki Dua, Neend se Jagne ki Dua, sone se pahle ki dua, sone ke baad ki dua, sone ki dua in hindi
Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua بِسْمِ الله - Bismillah ۞ Hadees: Abu Al Malih (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai,Main RasoolAllah (ﷺ) ke peeche sawar tha ke Aap (ﷺ) ki sawari phisal gayee, "Maine kaha shaitan marey tou Aap (ﷺ) ne farmaya 'aise na kaho ke Shaitan marey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya' , isliye (jab…
Deen aur Dunia ki Khair ke liye Dua… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abu Malik, Sa'd Bin Tariq (R.A) se Mairwi hai ke, Ek shakhs Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat me hazir hua aur usne arz kiya, "Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ! Main apne Rab se sawal karu to kya kahu ?." Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Tum ye kaho ! Aye Allah mujhe Bakhsh de, Mujh par Reham farma, aur Mujhe Aafiyat de, aur Mujhe Rizk ata farma, aur aap ne Anguthe…
Roza kin Cheezo se toot'ta Hai? "Bismillah Hir-Rahman Nir-Rahim" 1. Roza Rakh ne Wala, Janabat (Biwi se Mubashirat Ya Mani ka Kharij ho Jaana, Jiske liye Ghusl Wajib hai) ki Halat me Apna Roza Shuru kar sakta hai. ✦ Hadees: Ummul Momineen Ayesha (R.A) aur Umme Salma (R.A) bayan karti Hai: RasoolAllah (ﷺ) jab kabhi janabat ki halat me hotey aur Aap (ﷺ) par fajar zahir ho jaati toh Aap (ﷺ) Ghusl karte aur Roza rakhte. 📕 Sahih Al Bukhari, Hadees 1925 Agar koi Shakhs Ramzan…
Ramadan Day 8 : Rozedar ko Iftar karane ki Fazilat… Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaih Wasallam) ne farmaya " Jo koi kisi Rozedaar ko iftar kara de tou uss ko Rozedaar ke Barabar Sawab Milega, aur Rozedaar ke sawab mein se koi kami nahi hogi ." [Sunan ibn e Maja, 1746]
Farishte ki dua uss Namazi ke Maghfirat ke liye Hadees: Abu Hurirah (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Farishte Tum me se Uss Namazi ke liye Uss Waqt tak Yu hi Dua karte rehte hain Jab tak (Namaz Parhne ke Baad) Wo Apne Musalley par baitha rahe aur Hadas (Hawa Kharij) na karey ki Aye Allah! Iski Maghfirat farma, Aye Allah! ess par reham farma. Tum Main se wo Shakhs Jo sirf Namaz ki wajah se ruka hua hai ghar jane se siwa Namaz ke aur…
Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Hadees of the Day Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Abu Darda (R.A) se Riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“ 📕 Sunan Abi Dawud 1534-Sahih Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Musalman ki apne bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai, uske paas ek farishta hai…
Kharch karnewalo ke liye Farishton ki Dua Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde." 📕 Bukhari Shareef, Hadees: 1442
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Ramadan Day 10 | Iftar ke Waqt Rozedar ki Dua Radd Nahi hoti Ramadan Day 10 ✦ Hadees: Abdullah Bin Amr Bin Aas (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya -"Iftar ke waqt Rozedar ki Dua Radd nahi hoti." [Sunan Ibn Majah, 1753-Hasan]