*Deegar Ambiya Aur Rasool Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pahle Mabus Hue Pahle Aaye, Yeh Khusus Hotey, Makhsus Hotey Kisi Qoum Ki Taraf, Inka Paigaam Ek Wakt Tak Hota, Aur Ye Nabi Ek Makhsus Hissey Ke Liye Aatey Ek Mehdud(Limited) Waqt Ke Liye ..
*Lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Muamla Dusrey Ambiyao Se Mukhtalif Hai..
Aur Yeh Baat Aap Aur Hum Jantey Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Faramaya –
♥ Al-Quran: “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen”
(Trajuma: Aye Nabi! Humne Aapko Tamam Insaniyat Ke Liye Rehmat Banakar Bheja)
– (Surah-21: Aayat-107)
Ek Aur Aayat me Allah Rabbul Izzat Faramata Hai –
♥ Al-Quran: Aye Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu ,..”
– (Surah Al-Araf (7), Ayat-158)
… Tou Lihaja Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)
• Insano Ke Liye Bhi Nabi-e-Rehmat Hai,
• Rasool’Allah Jinno Ke Bhi Nabi Hai ,…
• Rasool’Allah Charind Aur Parindo Ke Bhi Nabi Hai ,…
• Rasool’Allah Tamam Makhlukat Jo Bhi Aalam Me Hai Unn Tamam Ke Nabi Hai …
*Aur Iski Wajahat AaHadeese Sharifa Se Bhi Hoti Hai Ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Kayi Aahadees Hum Suntey Hai Ke –
# Wakiya: 1 –
Ek Mimber Tha, Jo Ek Khajur Ki Darakht Par Banaya Gaya Tha, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uspar Khadey Hokar Khutba Diya Karte, Aur Ek Baar Yun Hua Ke Rasool’Allah Ne Apne Mimber Ki Jagah Badal Di, Tou Umar Bin Khattab Aur Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) Farmatey Hai Ke Wo Jhaad Roney Laga Aur Uski Siskiya Hum Sunn Rahey They…
Fir Rasool’Allah Ne Hukm Diya Ke Isey Wapas Yaha Lakar Laga Do.,…
Tou Goya Aap Ek Jhaad Ke Bhi Nabi Hai..
# Wakiya: 2 –
Yeh Wakiya Bhi Humne Suna Ke Muslim Ki Riwayat Me Aata Hai Ke – Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Ne Aakar Kaha Ke – ‘Ya Rasool’Allah ! Mera Ye Uoonth Baat Nahi Manta Meri, Nafarman Hai Yeh! ‘..
*Rasool’Allah Uskey Paas Gaye, Aur Uss Uoonth Ne Rasool’Allah Ke Kaan-e-Mubarak Tak Apna Muuh Laya Aur Kuch Baat Kahi,.
*Rasool’Allah Ne Uss Shakhs Se Kaha – ‘Ke Isney Mujhse Tumhari Ek Shikayat Ki Hai Ke Tum Fazar Ki Namaz Me Kotahi Kartey Ho Isiliye Ye Tumhari Baat Nahi Manta.. Lihaja Tum Wo Chorr Do Kotahi Yeh Tumhari Baat Manega..’
* Tou Goya Rasool’Allah Janwaro Ke Bhi Nabi Hai, Charind Aur Parind Ke Bhi Nabi Hai ,..
Aur Jhaad Aur Pahaad Jo Kuch Moujud Hai “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen” Aalam Me Jo Kuch Moujud Hai, Rasool’Allah Unn Tamam Ke Nabi Hai.. Aur Tamam Ko Aapki Ita-At Farz Aur Wajib Hai ,..
* Aur Iski Wajahat Allah Rabbul Izzat Ne Surah Araf Ki Ayat 158 Me Farmaya –
Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu,.”
Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Insaniyat Ki Taraf Mabus Kiye Gaye, Aur Insaniyat Ka Kaam Hai Ke Wo Rasool’Allah Ki Itteba Karey, Farmabardari Karey Aur Aap Par Imaan Laye ,..
* Lihaja Hum Tamam Ko Chahiye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ko Apni Zindagi Me Lazim Aur Farz Jaaney.. Aur Ispar Khud Bhi Amal Karey Aur Dusro Ko Bhi Amal Ki Dawat Dey..
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Humey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Mohabbat Hum’me Daaley…
# Unki Sunnato Ko Samjhna Aur Uspar Chalna Humare Liye Aasan Karey..
# Aur Humari Naslo Me Rasool’Allah Ki Sunnat Ko Baaki Rakhey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!