Ramadan Day 8 : Rozedar ko Iftar karane ki Fazilat… Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaih Wasallam) ne farmaya " Jo koi kisi Rozedaar ko iftar kara de tou uss ko Rozedaar ke Barabar Sawab Milega, aur Rozedaar ke sawab mein se koi kami nahi hogi ." [Sunan ibn e Maja, 1746]
Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Hadeese Nabwi ﷺ Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki, Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:"Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye." Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Aqbaa!∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do." 📕 Mukashifat-ul-Quloob,…
Ramadan Day 25 | Shabe Qadr me Quran ka Nuzool hua Ramadan Hadees: Day 25 Shabe Qadr me Quran ka Nuzool hua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Subhanahu wa Taala Quran me farmata hai: "Humne is Quran ko Mubaraq Raat (Shabe Qadr) me nazil kiya." 📕 Surah Ad-Dukhan 44:3
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
World No Tobacco Day: जानिए तम्बाखू जैसे नशे के बारे… https://www.youtube.com/watch?v=yuzCXvNX_bo Tobacco Cigarette Haram In Islam? Cigarette Haram In Islam Urdu, Cigarette Smoking Haram In Islam, Fatwa on Cigarette Smoking, Tobacco Fatwa, Hadees about Nasha, Smoking in Islam Hadith, is smoking haram or Makruh. what islam says about smoking, smoking is haram in islam fatwa released, is smoking haram hanafi, tobacco fatwa
Ramadan Day 18 | Allah ki raah me Ek Din bhi Roza… Ramadan Quotes: 18 Ramzan ✦ Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak ...
Hadees: Zulm ke Badley Nek Amal le liya jayega ⭐ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Agar kisi Shakhs ne kisi Dusre ki Izzat ya koi aur Cheez par Zulm kiya hoTou Us se Aaj hi Uss din (Qayamt) ke Aane se pahle Muaf karwa le!Jis Din na Deenar honge na Dirham balki Uska koi Nek amal hogaTou Uss Zulm ke badle Wohi le liya Jayega aur Agar koi Neik Amal uske paas nahi hoga tou Uss Mazloom (Jispar Zulm…
Ramadan Day 12 | Iftar ke Waqt Jahannum se Aazadi Ramadan Quotes: 12th Ramzan ✦ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:Allah Taala har Iftar ke Waqt Jahannum se kuch logon ko Azad ...
Ramadan Day 24 | Shab-e-Qadr me Ibadat ki Fazilat... Ramadan Day 24 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jo Shakhs Shab-e-Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur ...
Hajjatul Wida Ke Mouke Par RasoolAllah (Sallallahu… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hajjatul Wida Ke Mouke Par Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Muslmano Se Aakhiri Khutba Irshad Farmaya.. "Aye Logo Shayad Ayinda Saal Ya Fir Kabhi Tumse Yaha Mulaqat Na Ho Sake. Jo Tumse Gareeb Hai Unhe Wohi Khilao Jo Tum Khate Ho, Wohi Pehnao Jo Tum Pehnte Ho, Ke Sab Ko Allah Hi Ki Taraf Loutna Hai, Aur Wo Tumse Tumhare Amaal Ka Hisab Lega. Jo Moujud Hai Wo Unhe Batado Jo Moujud Nahi Hai, Ke Tum Sab Ek…
Ramadan Day 20 | Roza Allah ke liye hai aur Allah hi… Ramadan Day 20 ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga...
Ramzan ke Aakhri Ashrey me Jyada Ibadat ki Ahmiyat Ramzan ke Aakhri Ashrey me Jyada Ibadat ki Ahmiyat Hadees: Umme Aayesha (R.A) se riwayat hai ki: "Jab (Ramazan ka) Aakhri ashra aata tou Nabi (ﷺ) apna tehband mazboot baandh letey (yaani ibadat ke liye apni kamar kas letey) aur un raaton me Aap (ﷺ) khud bhi jagtey aur apne ghar walon ko bhi jagaya karte they." 📕 Sahih Al Bukhari , Vol 3, Hadith 2024 Ramazan ki Raato me Qayam ki Fazilat: Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai…
Ramadan Day 9 : Roza ek Dhaal hai 9th Ramadan Hadith: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai.❞ [Sahih Bukhari 1904]
Ramadan Day 28 | Namaz-e-Eid se pehle diya hua… Ramadan Hadees: Day 28 Namaz-e-Eid se pehle diya hua Sadqa-e-Fitr Qabool hua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jisne Namaz-e-Eid se pehle Sadqa-e-Fitr ada kiya uskaSadqa maqbool hua, aur jo namaz ke baad ada kare touaam Sadqe mein se ek Sadqa hai." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan