Farishte ki dua uss Namazi ke Maghfirat ke liye Hadees: Abu Hurirah (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Farishte Tum me se Uss Namazi ke liye Uss Waqt tak Yu hi Dua karte rehte hain Jab tak (Namaz Parhne ke Baad) Wo Apne Musalley par baitha rahe aur Hadas (Hawa Kharij) na karey ki Aye Allah! Iski Maghfirat farma, Aye Allah! ess par reham farma. Tum Main se wo Shakhs Jo sirf Namaz ki wajah se ruka hua hai ghar jane se siwa Namaz ke aur…
Cheenk ka Jawab | Dua said upon sneezing Cheenk ka Jawab | Dua said upon sneezing ۞ Hadees : Abu Hurerah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: 'Jab Kisiko Chheenk Aaye tou "Alahmdulillah" Kahe aur Uske Jawab me Uska Bhai ya sath wala Cheenkne wale ko "Ya-Reham'kallah" kahe' tou Cheekne wala Uske Jawab me ye kahe "Yah-Di-Kumullah-Wa-Yuslihu-Wa-L-Kum" ' 📕 Bukhari; Vol-2 Page-919 *Alahmdulillah: Allah ka Shukr hai.*Ya-Reham'kallah: Allah Tum par reham kare.*Yah-Di-Kumullah-Wa-Yuslihu-Wa-L-Kum: Allah Aapko Hidayat dey aur Aapki Islah farmaye.
Musibat me Khair ki Dua [Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi… Hadees: Umme Salma bint Abu Umayya (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "Agar koyi musalman jisko koyi museebat pahuche aur wo ye kahe jiska Allah subhanahu ne usko hukm farmaya:"Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon, Allahumma Ajurni fee Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha" Tarjuma: Beshak hum Allah ke hain aur Usee ki taraf laut kar jane wale hain , Aye Allah mujhe meri museebat par ajar de aur mujhe is se behtar naimat ata farma tou Allah subhanahu…
Dua Ibadat Hai ~ Allah ka farman hai "Mujhe pukaro!… Dua Ibadat Hai Hadees: Numan Ibn Bashir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Dua hi tou Ibadat hai," phir Aap (ﷺ) ne "Surah (40) Momin" ki Aayat 60 tilawat farmayi, "Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro! Main tumhari Dua qabool karunga aur jo log meri ibadat se takabbur karte hain woh Zaleel-O-Khuwar ho kar Jahannum me dakhil honge." 📕 Jamia at Tirmizi, Hadees: 3372
Waswaso ka ilaj | Bure khayalat se Bachne ki Dua Waswaso ka ilaj, Shaitan ke waswaso se, Bure khayalat se Bachne ki Dua, "Auzu billahi minash shaitan rajeem" ki Ahmiyat aur Fazilat Waswaso ka ilaj "Auzubillahi Minash Shaitan ir Rajeem"Tarjuma: Allah ki Panah Mangta hu Mai Shaitan Mardud ke Sharr se,. ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aur agar aapko shaitaan ki taraf se koi waswase aane lage tou Allah ki panaah maang liya karo, bila-shuba woh khoob sun ne waala aur khoob jaan'ne waala hai, Beshak jo Allah se darte hai. jab…
Ghar se Nikalne ki Dua Ghar se Nikalne ki Dua | घर से निकलते समय की दुआ - What to say when leaving the home | Dua : Bismil-lah, tawakkaltu AAalal-lah, wala hawla wala quwwata illa billah
Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua بِسْمِ الله - Bismillah ۞ Hadees: Abu Al Malih (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai,Main RasoolAllah (ﷺ) ke peeche sawar tha ke Aap (ﷺ) ki sawari phisal gayee, "Maine kaha shaitan marey tou Aap (ﷺ) ne farmaya 'aise na kaho ke Shaitan marey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya' , isliye (jab…
Museebat ya Pareshani ke Waqt Padhne ki Dua ۞ Hadith: Hazrate Asma bin Umays (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne mujhse farmaya ki 'kya main tumhe aise kalimat na sikhauu jinko tum Museebat (ya pareshani) ke Waqt padha karo' (Wo kalimat ye hain) ? ❝ Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa ❞ (ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta) [ Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1512-Sahih ] ♥ हिंदी हदिस : मुसीबत या परेशानी के वक्त पढ़ने की दुआ ♥…
Rabbish Rahli Sadri Dua : Aye Allah ! Mere kaam ko… Dua for Confidence ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي "Rabbish Rahli Sadri Wa Yassirli Amri Wah Lul Uqdatan Min Lisaani, Yaf Kahu Kauli" 📕 Al-Quran; Surah Taha 20:25-28 Tarjuma: ‟ Aye mere Rab! tu mere liye mera seena khol dey aur isey risalat ka wajan sehne ke liye faila dey, aur mere kaam ko mere liye aasan kar dey, aur meri zubaan ki giroh ko khol dey taaki log meri baat ko…
Allah se Madad ki Dua - Aye Allah ! tera Inkar… Allah se Madad ki Dua - Quran e Kareem me Allah Taala ne jo hume Madad Mangne ki Dua sikhayi - Aye Allah ! tera Inkar karnewalo ke Muqable me humari madad farma ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah se Madad ki Dua in Arabic ربَّنَا اغْفِرْ لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسْرَافَنَا فِي أَمْرِنَا وَثَبِّتْ أَقْدَامَنَا وانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَِ Allah se Madad ki Dua in Roman English "Rabbana-ghfir lana dhunuubana wa israfana fi amrina wa thabbit aqdamana wansurna 'alal qawmil kafireen" Allah se…
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Roza Iftar ki Dawat denewalo ke liye Dua ✦ Mafhum-e-Hadees: Abdullah bin Zubair (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne Muadh (RaziAllahu Anhu) ke wahan Roza Iftar kiya tou (Unko ye) Dua di ❝Aftara Indakumus-Saimun, Wa Akala Taamakumul-Abrar, Wa Sallat Alaikumul- Malaikah ❞〘Rozedar tumharey yahan iftar karey, nek log tumhara khana khaye aur farishtey tumharey liye dua karey〙 - Sunan Ibn Majah, Hadith 1747-Sahih For more Islamic messages kindly download our Mobile App [post-content id="46102"]
Ghusse ko Qabu me Karne ka Nabvi Tarika (Gusse ko… ✦ Hadees: Gusse ko Qabu karne ki Dua ✦ Sulaiman bin Sard (R.A.) ne bayan kiya ki Main RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat mein baitha hua tha aur qareeb hi do aadmi aapas mein Gaali Galoch kar rahe they ki ek shakhs ka munh surkh (laal) ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki mujhe ek aisa kalima maloom hai ki agar ye (koi bhi) Shakhs usko padh le to is ka gussa jata rahe ga.…
Allah se Magfirat aur Aafyiat mangne ki Dua ✦ Mafhum-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanahu Ta'ala se Magfirat aur Aafyiat manga karo, kyuki Yaqeen ke baad Aafiyat se behtar koi cheez kisi ko nahi di gayee." 📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1482-Sahih ✦ Mafhum-e-Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Subah aur Shaam ko ye Dua maangna kabhi nahi chorha, yaani rozana Subah aur Shaam mein isko padha karte they: ❝Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah.❞ (Ya Allah…
Beshak har hadees sach hai